nazm
ik sub.h jab bahār thī kamre meñ mez pe
phūloñ ke rañg chaa.e kī ḳhushbū se tez the
khiḌkī se aa rahī thī kisī giit kī sadā
Thahrī huī thī niiñd meñ Duubī huī havā
rakkhe hue the takiye ke nīche tumhāre ḳhvāb
panchhī abhī uḌe na the shāḳhoñ pe bol ke
dekhā na thā kisī ne bhī aḳhbār khol ke
jis meñ tumhāre baare meñ koī ḳhabar na thī
tum duur ik naddī ke kināre ke paas thiiñ
vaadī meñ ek sabz sitāre ke paas thiiñ
ek subh jab bahaar thi kamre mein mez pe
phulon ke rang chae ki KHushbu se tez the
khiDki se aa rahi thi kisi git ki sada
Thahri hui thi nind mein Dubi hui hawa
rakkhe hue the takiye ke niche tumhaare KHwab
panchhi abhi uDe na the shaKHon pe bol ke
dekha na tha kisi ne bhi aKHbar khol ke
jis mein tumhaare bare mein koi KHabar na thi
tum dur ek naddi ke kinare ke pas thin
wadi mein ek sabz sitare ke pas thin
- Book : saarii nazmen (Pg. 784)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.