nazm
agar ham roz milte ye jahāñ vīrāñ na hotā
dhaḌaktā roz o shab dil is tarah be-jāñ na hotā
tilism-e-bād-o-bārāñ meñ koī tūfāñ na hotā
mohabbat ḳhatm ho jaane kā bhī imkāñ na hotā
ufuq ke paar kyā hai jaan aur dil ko ḳhabar hotī
jahāñ tak jā nahīñ saktī vahāñ shāyad nazar hotī
agar hum roz milte ye jahan viran na hota
dhaDakta roz o shab dil is tarah be-jaan na hota
tilism-e-baad-o-baran mein koi tufan na hota
mohabbat KHatm ho jaane ka bhi imkan na hota
ufuq ke par kya hai jaan aur dil ko KHabar hoti
jahan tak ja nahin sakti wahan shayad nazar hoti
- Book : saarii nazmen (Pg. 793)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.