Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nelson mandela ke nam

Rafeeq Jabir

nelson mandela ke nam

Rafeeq Jabir

MORE BYRafeeq Jabir

    ai mañdela tirī bebāk qayādat ko salām

    sach hai insān tauqīr baḌhā ne

    tā-abad yaad rahegī ye misālī paikār

    qil.a-e-zulm buniyād hilā ne

    ye tirī jehd-e-musalsal ye tirā azm-e-samīm

    sham.a tūfān-e-havādis meñ jalā ne

    aaj africa ke sab pīr-o-javāñ haiñ bedār

    qismat-e-ḳhufta ġhulāmoñ jagā ne

    zor-e-bāzū ne tire aaj baḌā kaam kiyā

    gardan-e-ḳhvājgī pal-bhar meñ jhukā ne

    jo thī insān pe insāñ ke sitam buniyād

    past-o-bālā vo tafrīq miTā ne

    ne shāhīñ se mamūle ko laḌāyā ai dost

    ḳhaak meñ haibat-e-afrang milā ne

    ai mire mard-e-mujāhid tirī jur.at ke nisār

    rang aur nasl dīvār girā ne

    dekh hai vaqt maujoñ meñ ravānī tujh se

    zinda hai azmat-e-insāñ kahānī tujh se

    ai mandela teri bebak qayaadat ko salam

    sach hai insan ki tauqir baDha di tu ne

    ta-abad yaad rahegi ye misali paikar

    qila-e-zulm ki buniyaad hila di tu ne

    ye teri jehd-e-musalsal ye tera azm-e-samim

    shama tufan-e-hawadis mein jala di tu ne

    aaj africa ke sab pir-o-jawan hain bedar

    qismat-e-KHufta ghulamon ki jaga di tu ne

    zor-e-bazu ne tere aaj baDa kaam kiya

    gardan-e-KHwajgi pal-bhar mein jhuka di tu ne

    jo thi insan pe insan ke sitam ki buniyaad

    past-o-baala ki wo tafriq miTa di tu ne

    tu ne shahin se mamule ko laDaya ai dost

    KHak mein haibat-e-afrang mila di tu ne

    ai mere mard-e-mujahid teri jurat ke nisar

    rang aur nasl ki diwar gira di tu ne

    dekh hai waqt ki maujon mein rawani tujh se

    zinda hai azmat-e-insan ki kahani tujh se

    Source:

    Munfarid (Pg. 169)

    • Author: Rafeeq Jabir
      • Publisher: Zain Publication, Karachi
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now