Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nili jild ki kitab

Qaisarul Jafri

nili jild ki kitab

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    mere ghar meñ jhoñj banā.e gaurayyā joḌā

    choñch meñ le kar aa.e jaa.e bhūsa thoḌā thoḌā

    bhūse meñ kuchh tinke bhī haiñ kuchh maTiyāle par

    niile piile ujle maile bhūre kaale par

    bāġhoñ bāġhoñ ho kar aa.e apnā ghar na bhūle

    pahle vo rassī par baiThe pal bhar jhūlā jhūle

    phir almārī meñ uḌ kar jaa.e sīdhe apne kone

    ġhālib dīvān chunā hai rahne ko in do ne

    niilī niilī jild pe jaise phuul rakhā ho koī

    kāġhaz ko raat samajh kar chāñd ugā ho koī

    qismat vaale Thahre un ke laal gulābī panje

    urdu ik shā.er aayā un ke paañv ke nīche

    chāñdī jaise taḳht pe so kar guzrīñ rāteñ un

    'ġhālib'-sāhib sunte hoñge shāyad bāteñ un

    maazī buniyād pe rakkhā hai mustaqbil sab

    aane vaale daur meñ logo aTkā hai dil sab

    gaurayyā ke in ḳhvāboñ ko kaise toḌā jaa.e

    koī nusḳha aur mañgā leñ is ko chhoḌā jaa.e

    mere ghar mein jhonj banae gaurayya ka joDa

    chonch mein le kar aae jae bhusa thoDa thoDa

    bhuse mein kuchh tinke bhi hain kuchh maTiyale par

    nile pile ujle maile bhure kale par

    baghon baghon ho kar aae apna ghar na bhule

    pahle wo rassi par baiThe pal bhar jhula jhule

    phir almari mein uD kar jae sidhe apne kone

    ghaalib ka diwan chuna hai rahne ko in do ne

    nili nili jild pe jaise phul rakha ho koi

    ya kaghaz ko raat samajh kar chand uga ho koi

    qismat wale Thahre un ke lal gulabi panje

    urdu ka ek shaer aaya un ke panw ke niche

    chandi jaise taKHt pe so kar guzrin raaten un ki

    'ghaalib'-sahib sunte honge shayad baaten un ki

    mazi ki buniyaad pe rakkha hai mustaqbil sab ka

    aane wale daur mein logo aTka hai dil sab ka

    gaurayya ke in KHwabon ko kaise toDa jae

    koi nusKHa aur manga len is ko chhoDa jae

    Source:

    Agar Darya Mila Hota (Pg. 166)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now