Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nim tarik mohabbat

Zeeshan Sahil

nim tarik mohabbat

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    niim tārīk mohabbat dil-āvezī meñ

    jagmagātī hai tirī yaad mauhūm kiran

    chamak uThtā hai tire dard meñ Duubā huā chāñd

    tujh ko chhūne tamannā meñ guzarte bādal

    mere hāthoñ lakīroñ meñ Thahar jaate haiñ

    kisī pur-shor samundar talātum le kar

    chāñdnī aa ke dil o jaañ pe bikhar jaatī hai

    nahīñ ma.alūm ki vo phuul kahāñ khilte haiñ

    jin ḳhushbū mirī āñkhoñ meñ utar jaatī hai

    niim tārīk mohabbat dil-āvezī meñ

    log kahte haiñ ki ik umr guzar jaatī hai

    nim tarik mohabbat ki dil-awezi mein

    jagmagati hai teri yaad ki mauhum kiran

    chamak uThta hai tere dard mein Duba hua chand

    tujh ko chhune ki tamanna mein guzarte baadal

    mere hathon ki lakiron mein Thahar jate hain

    kisi pur-shor samundar ka talatum le kar

    chandni aa ke dil o jaan pe bikhar jati hai

    nahin malum ki wo phul kahan khilte hain

    jin ki KHushbu meri aankhon mein utar jati hai

    nim tarik mohabbat ki dil-awezi mein

    log kahte hain ki ek umr guzar jati hai

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 790)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now