Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind

MORE BYKumar Pashi

    niiñd mīThī niiñd āñkhoñ meñ bharī hai

    dhuñd meñ har chiiz Duubī rahī hai

    pāniyoñ par jaise bahtā rahā huuñ

    sāhiloñ se duur hotā rahā huuñ

    dekhā an-dekhā kuchh rañg-e-ḳhalā hai

    ek be āvāz āvāz huā hai

    rishta-e-rañg-o-sadā se kaT gayā huuñ

    dhuñd gahrī aur gahrī ho ga.ī hai

    ik purānī guuñj dil meñ gūñjtī hai

    duur ik shakl ab paas aa rahī hai

    nind miThi nind aankhon mein bhari hai

    dhund mein har chiz Dubi ja rahi hai

    paniyon par jaise bahta ja raha hun

    sahilon se dur hota ja raha hun

    dekha an-dekha sa kuchh rang-e-KHala hai

    ek be aawaz aawaz hua hai

    rishta-e-rang-o-sada se kaT gaya hun

    dhund gahri aur gahri ho gai hai

    ek purani gunj dil mein gunjti hai

    dur ki ek shakl ab pas aa rahi hai

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 561)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now