Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind se KHwab tak

Shehzad Anjum Burhani

nind se KHwab tak

Shehzad Anjum Burhani

MORE BYShehzad Anjum Burhani

    rāste gavāh ho ga.e haiñ

    tere palaT kar dekhne andāz

    havā ke tez jhoñke se lapak jaane vaalī shāḳh se mushābah hai

    ek khanaktī huī muskān rah-rah kar nigāhoñ meñ gūñjtī hai

    ek sitāra ḳhalāoñ se zamīn par aa girtā hai

    siyāh raat yakāyak nuur se mā'mūr shabistāñ havāla ban jaatī hai

    lihāf ke haT jaane se

    mausam ḳhunkī ragoñ meñ garm lahū dhāroñ ko

    munjamid karne lagī hai

    aur saare manzar dhuñdlā ga.e haiñ

    aañkh meñ kaḌvāhaToñ zahr utarne lagā hai

    ye ḳhvāb apne reshmī libādoñ meñ

    kaise ḳhārzār ban ke laayā hai

    niiñd mushkil se aatī hai aa.ī thī lekin

    kisī ḳhvāb āhaToñ se chauñk kar

    kamre ke darvāze par saham ga.ī hai

    aur maiñ aañkh khole hue

    ḳhālī kamre chhat tak rahā huuñ

    raste gawah ho gae hain

    tere palaT kar dekhne ka andaz

    hawa ke tez jhonke se lapak jaane wali shaKH se mushabah hai

    ek khanakti hui muskan rah-rah kar nigahon mein gunjti hai

    ek sitara KHalaon se zamin par aa girta hai

    siyah raat yakayak nur se ma'mur shabistan ka hawala ban jati hai

    lihaf ke haT jaane se

    mausam ki KHunki ragon mein garm lahu ki dhaaron ko

    munjamid karne lagi hai

    aur sare manzar dhundla gae hain

    aankh mein kaDwahaTon ka zahr utarne laga hai

    ye KHwab apne reshmi libaadon mein

    kaise KHarzar ban ke laya hai

    nind mushkil se aati hai aai thi lekin

    kisi KHwab ki aahaTon se chaunk kar

    kamre ke darwaze par saham si gai hai

    aur main aankh khole hue

    KHali kamre ki chhat tak raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now