Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind

MORE BYZeeshan Sahil

    ḳhvāb ke rāste meñ

    havā lagāyā huā

    ek daraḳht so rahā hai

    daraḳht ke nīche

    raat bārish se

    zamīn abhī tak bhīgī huī hai

    āsmān

    chhupā huā hai bādaloñ meñ

    aur paanī ke qatre

    gir rahe haiñ

    us āñkhoñ par

    mere baġhair

    vo chalnā shurūa kar hai

    ek ā.īne ke sāmne

    aur gir paḌtī hai

    ḳhud ko dekhte hue

    ek stretcher par

    jise istiqbāliya counter se

    vāpas kar diyā jaatā hai

    KHwab ke raste mein

    hawa ka lagaya hua

    ek daraKHt so raha hai

    daraKHt ke niche

    raat ki barish se

    zamin abhi tak bhigi hui hai

    aasman

    chhupa hua hai baadalon mein

    aur pani ke qatre

    gir rahe hain

    us ki aankhon par

    mere baghair

    wo chalna shurua kar di hai

    ek aaine ke samne

    aur gir paDti hai

    KHud ko dekhte hue

    ek stretcher par

    jise istiqbaaliya counter se

    wapas kar diya jata hai

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 164)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now