Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nirwan ki talash

Raza Ashk

nirwan ki talash

Raza Ashk

MORE BYRaza Ashk

    yashodhrā thak ke so ga.ī thī

    aur rāhul bistar par jāgtā thā

    magar siddhārth

    mahal se bāhar nikal chukā thā

    us hirdai badal chukā thā

    badan pe gerua libās Daale

    vo sīdhā jangal ko rahā thā

    ye man man vo vichārtā thā

    ye dhan ye daulat

    ye aish-o-ishrat

    ye praan kaayā

    ye moh maayā

    hai sab parāyā

    kahīñ nahīñ shāñtī chhāyā

    kahīñ nahīñ shāñtī chhāyā

    prabhū ye kyoñ ne jag banāyā

    ye jag jahāñ jug jugāntar se

    anant prānī asankh mānav

    kāmnā vāsnā agnī meñ jal rahā hai

    vo mirgtirishnā ko jal samajh kar

    ḳhud aap apne ko chhal rahā hai

    dukhoñ ke sahrā meñ chal rahā hai

    yahāñ pe jīvan maran bhī dukh hai

    birah bhī dukh hai milan bhī dukh hai

    sharīr aur aatmā bhī dukh hai

    triptī aur tirishnā bhī dukh hai

    magar kahīñ moksh koī rāsta nahīñ hai

    kahīñ bhī nirvān koī silsila nahīñ hai

    mere bhagvān

    maiñ yug ke andhe vishāl ban meñ

    kab se nirvān DhūñDhtā huuñ

    manush kalyān DhūñDhtā huuñ

    maiñ apnī pahchān DhūñDhtā huuñ

    yashodhra thak ke so gai thi

    aur rahul bistar par jagta tha

    magar siddhaarth

    mahal se bahar nikal chuka tha

    us ka hirdai badal chuka tha

    badan pe gerua libas Dale

    wo sidha jangal ko ja raha tha

    ye man hi man wo wichaarta tha

    ye dhan ye daulat

    ye aish-o-ishrat

    ye pran kaya

    ye moh maya

    hai sab paraya

    kahin nahin shanti ki chhaya

    kahin nahin shanti ki chhaya

    prabhu ye kyon tu ne jag banaya

    ye jag jahan jug jugantar se

    anant prani asankh manaw

    kaamna wasna ki agni mein jal raha hai

    wo mirgtirishna ko jal samajh kar

    KHud aap apne ko chhal raha hai

    dukhon ke sahra mein chal raha hai

    yahan pe jiwan maran bhi dukh hai

    birah bhi dukh hai milan bhi dukh hai

    sharir aur aatma bhi dukh hai

    tripti aur tirishna bhi dukh hai

    magar kahin moksh ka koi rasta nahin hai

    kahin bhi nirwan ka koi silsila nahin hai

    mere bhagwan

    main yug ke andhe wishaal ban mein

    kab se nirwan DhunDhta hun

    manush ka kalyan DhunDhta hun

    main apni pahchan DhunDhta hun

    Source:

    Teeshe Ka Safar (Pg. 62)

    • Author: Raza Ashk
      • Publisher: Maktaba Afkar, Urdu Bazar, Darbhanga
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now