Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nirwan

Taoos

nirwan

Taoos

MORE BYTaoos

    meñ kapilvastu shahzāda nahīñ

    dardmandī havas

    nirvān ḳhvāhish

    kabhī dil meñ samā.ī bhī nahīñ

    maiñ ki bargad ke taqaddus se bhī thā nā-āshnā

    aur aaj bhī

    chhāñv had tak daraḳhtoñ se hai merī dostī

    maiñ ik aisā tifl-e-maktab thā

    zarā bhuul par jo sarzanish ke ḳhauf se

    jañgal jānib chal paḌe

    raah meñ kuchh ham-safar aise mileñ

    jo use vidyārthī samjheñ

    kuchh aise log bhī

    jo use sahmī huī chor nazroñ ke sabab

    mushtarak dushman ik jāsūs samjheñ

    aur ishāroñ meñ kahīñ

    ye kapilvastu shahzāda nahīñ

    kyā ḳhabar shāyad manū koī chelā ho

    phir chānakya koī muḳhbir na ho

    yuuñ ummīd-o-bīm sarhad ke gahre darmiyānī fāsle ko

    maiñ ne mushkil se añdherī raat meñ tai kar liyā

    aur shārdā ke khañDaroñ tak aa gayā

    jab sahar hone ko thī

    maiñ shārdā ke khañDaroñ se chal diyā

    shārdā pul mare qadmoñ meñ thā

    tab sipāhī pukārā kaun hai

    yuuñ visāl-e-sub.h armāñ firāq-e-sohbat-e-shab ban gayā

    ḳhud farebī aur ḳhush-fahmī ke saare rāste masdūd ho kar rah ga.e

    dhyān ne jab dil ko samjhāyā sipāhī kaun thā

    ab maiñ qat.an gyaan aur muktī dil-dāda nahīñ

    maiñ kapilvastu shahzāda nahīñ

    mein kapilwastu ka shahzada nahin

    dardmandi ki hawas

    nirwan ki KHwahish

    kabhi dil mein samai bhi nahin

    main ki bargad ke taqaddus se bhi tha na-ashna

    aur aaj bhi

    chhanw ki had tak daraKHton se hai meri dosti

    main ek aisa tifl-e-maktab tha

    zara si bhul par jo sarzanish ke KHauf se

    jangal ki jaanib chal paDe

    rah mein kuchh ham-safar aise milen

    jo use widyarthi samjhen

    kuchh aise log bhi

    jo use sahmi hui si chor nazron ke sabab

    mushtarak dushman ka ek jasus samjhen

    aur ishaaron mein kahin

    ye kapilwastu ka shahzada nahin

    kya KHabar shayad manu ji ka koi chela ho

    ya phir chanakya ji ka koi muKHbir na ho

    yun ummid-o-bim ka sarhad ke gahre darmiyani fasle ko

    main ne mushkil se andheri raat mein tai kar liya

    aur shaarda ke khanDaron tak aa gaya

    jab sahar hone ko thi

    main shaarda ke khanDaron se chal diya

    shaarda ka pul mare qadmon mein tha

    tab sipahi ka pukara kaun hai

    yun visal-e-subh ka arman firaq-e-sohbat-e-shab ban gaya

    KHud farebi aur KHush-fahmi ke sare raste masdud ho kar rah gae

    dhyan ne jab dil ko samjhaya sipahi kaun tha

    ab main qatan gyan aur mukti ka dil-dada nahin

    main kapilwastu ka shahzada nahin

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 180)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now