Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nirwan

Wazir Agha

nirwan

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    mirī saañs silsila

    aise TuuTe ki ik mast jhoñke ke mānind girtī luḌhaktī huī umr merī

    harī lāñbī maḳhmal ḳhushbū bharī ghaas meñ

    apne nañge badan ko utāre

    na aañsū girā.e na dāman pasāre

    faqat haath ke al-vidā.ī ishāre se

    apne ta.āqub meñ aate parindoñ ko ruḳhsat kare

    aur ḳhud ghaas jhiil meñ Duub jaa.e

    mirī saañs silsila

    yuuñ na TuuTe ki ik tund jhoñke ke mānind uḌtī huī umr merī

    kisī band ujḌe hue shahr meñ daf.atan ḳhud ko paa.e

    bhayānak ḳhamoshī ik Doltā qahqaha

    us rag rag meñ utre to vo baukhlā.e

    qatāroñ meñ leTī huī murda galiyoñ meñ bhaTke

    makānoñ meñ utre muñDeroñ pe aa.e

    siyah chhoTī īñToñ farsūda dīvār ko apnī poroñ se chhū kar

    koī dar DhūñDe koī raah māñge

    achānak kisī sard khambe be-nūr āñkhoñ se jhāñke

    baḌe karb se giḌgiḌā.e

    ḳhudārā koī mujh ko bāhar nikalne rasta batā.e

    ḳhudārā koī mujh ko bāhar nikalne rasta batā.e

    meri sans ka silsila

    aise TuTe ki ek mast jhonke ke manind girti luDhakti hui umr meri

    hari lanbi maKHmal si KHushbu bhari ghas mein

    apne nange badan ko utare

    na aansu girae na daman pasare

    faqat hath ke al-widai ishaare se

    apne taaqub mein aate parindon ko ruKHsat kare

    aur KHud ghas ki jhil mein Dub jae

    meri sans ka silsila

    yun na TuTe ki ek tund jhonke ke manind uDti hui umr meri

    kisi band ujDe hue shahr mein dafatan KHud ko pae

    bhayanak KHamoshi ka ek Dolta qahqaha

    us ki rag rag mein utre to wo baukhlae

    qataron mein leTi hui murda galiyon mein bhaTke

    makanon mein utre munDeron pe aae

    siyah chhoTi inTon ki farsuda diwar ko apni poron se chhu kar

    koi dar DhunDe koi rah mange

    achanak kisi sard khambe ki be-nur aankhon se jhanke

    baDe karb se giDgiDae

    KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae

    KHudara koi mujh ko bahar nikalne ka rasta batae

    Source:

    Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 150)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now