Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Nostalgia

Bilal Ahmad

Nostalgia

Bilal Ahmad

MORE BYBilal Ahmad

    vo din kitne munavvar the

    kisī ko bāzuoñ meñ be-tarah bharne ḳhvāhish se

    ayāġh-e-jism-o-jāñ ik be-ḳhudī meñ jab labā-lab thā

    chanāroñ ke badan meñ sruḳh-rū mastī dahaktī thī

    kuchh aisā haal besh-o-kam hamāre dil bhī tab thā

    vo din kitne munavvar the

    ki bachpan hasīñ shāmoñ ke saa.e baat karte the

    jaise duur ufuq qulqul se hañstā thaa, jahāñ rab thā

    ki har lazzat zabāñ ko yaad ke naame sunātī thī

    ki har ḳhushbū se paivasta koī pichhlā jahāñ jab thā

    mohabbat dil ke ḳhālī dasht meñ jab sair kartī thī

    so is tārāj ke aage hameñ kuchh hosh kab thā

    ḳhushī narm-par taa.ir badan meñ sarsarātā thā

    to aañsū bhī umaDte the, ḳhushī ye bhī ik Dhab thā

    vo din kitne munavvar the

    tahī-kesa zamāne sarḳhushī se jab chhalakte the

    bhare din jis se ḳhālī haiñ tahī kīsoñ meñ vo sab thā

    wo din kitne munawwar the

    kisi ko bazuon mein be-tarah bharne ki KHwahish se

    ayagh-e-jism-o-jaan ek be-KHudi mein jab laba-lab tha

    chanaron ke badan mein sruKH-ru masti dahakti thi

    kuchh aisa haal besh-o-kam hamare dil ka bhi tab tha

    wo din kitne munawwar the

    ki bachpan ki hasin shamon ke sae baat karte the

    tu jaise dur ufuq qulqul se hansta tha, jahan rab tha

    ki har lazzat zaban ko yaad ke name sunati thi

    ki har KHushbu se paiwasta koi pichhla jahan jab tha

    mohabbat dil ke KHali dasht mein jab sair karti thi

    so is taraj ke aage hamein kuchh hosh hi kab tha

    KHushi ka narm-par tair badan mein sarsaraata tha

    to aansu bhi umaDte the, KHushi ka ye bhi ek Dhab tha

    wo din kitne munawwar the

    tahi-kesa zamane sarKHushi se jab chhalakte the

    bhare din jis se KHali hain tahi kison mein wo sab tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now