Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nostalgia

Siraj Faisal Khan

nostalgia

Siraj Faisal Khan

MORE BYSiraj Faisal Khan

    vo jab nārāz hotī thī

    to apne garden

    meñ ke mujh ko

    phone

    kartī thī

    satāne ke liye mujh ko

    vo kahtī thī

    bahut banñe lage ho tum

    maza tum ko chakhā.uñgī

    tumhārī vo jo guḌiyā hai mire andar

    maiñ us

    uñgliyoñ meñ saikḌoñ kāñTe

    chubhā.uñgī

    rulā.uñgī

    maiñ kahtā thā

    agar tum ne

    mirī pyārī guḌiyā ko

    rulāyā to

    qasam se maiñ

    tumhārā vo jo baabū hai

    mire andar

    maiñ us

    jaan le lūñgā

    wo jab naraaz hoti thi

    to apne garden

    mein ja ke mujh ko

    phone

    karti thi

    satane ke liye mujh ko

    wo kahti thi

    bahut banne lage ho tum

    maza tum ko chakhaungi

    tumhaari wo jo guDiya hai mere andar

    main us ki

    ungliyon mein saikDon kanTe

    chubhaungi

    rulaungi

    main kahta tha

    agar tum ne

    meri pyari si guDiya ko

    rulaya to

    qasam se main

    tumhaara wo jo babu hai

    mere andar

    main us ki

    jaan le lunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now