Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nowember ke pahle hafte par ek nazm

Akhtar Husain Jafri

nowember ke pahle hafte par ek nazm

Akhtar Husain Jafri

MORE BYAkhtar Husain Jafri

    ḳhunuk havā barahna hāthoñ se zard māthe se

    pahlā pahlā mukālima hai

    abhī ye din-rāt sard-mehrī ke itne ḳhūgar nahīñ hue haiñ

    to phir ye be-vazn sub.h kyuuñ bojh ban rahī hai

    savād-e-āġhāz-e-ḳhushk-sālī meñ kyuuñ varaq bhīgne lagā hai

    dhuāñ dhuāñ shaam ke alaav meñ koī jañgal jale

    ki rūThī huī tamannā

    ḳhizāñ paanī koī ishāra nahīñ samajhtā

    ye nahr ab tak purāne pahre meñ chal rahī hai

    ajiib tāsīr āḳhir-e-shab ke āsmāñ

    havā chale zamīn ghūme

    fasīl kohre koī sūraj nahīñ girātā

    zamīn se malba ga.e dinoñ koī sitāra nahīñ uThātā

    tavīl rāteñ ki muḳhtasar din

    kasīr va.ade qalīl umreñ

    abas hisāb-o-shumār us jo gosht is saal nāḳhunoñ se judā huā hai

    sikuḌte lamhe ek sarhad se tā-ba-hadd-e-digar vahī kār-e-satr-poshī

    vo mū-e-tan ho ki tār-e-pamba ki bāl-o-par aks-e-ā.īna ke

    har ek katran pe zardiyāñ bāñTne daraḳhtoñ ke faisle haiñ

    udaas pattā

    ḳhizāñ paanī na.e ma.ānī nahīñ samajhtā

    so nahr ab tak purāne pahre meñ chal rahī hai

    KHunuk hawa ka barahna hathon se zard mathe se

    pahla pahla mukalima hai

    abhi ye din-raat sard-mehri ke itne KHugar nahin hue hain

    to phir ye be-wazn subh kyun bojh ban rahi hai

    sawad-e-aghaz-e-KHushk-sali mein kyun waraq bhigne laga hai

    dhuan dhuan sham ke alaw mein koi jangal jale

    ki ruThi hui tamanna

    KHizan ka pani koi ishaara nahin samajhta

    ye nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai

    ajib tasir aaKHir-e-shab ke aasman ki

    hawa chale ya zamin ghume

    fasil kohre ki koi suraj nahin giraata

    zamin se malba gae dinon ka koi sitara nahin uThata

    tawil raaten ki muKHtasar din

    kasir wade qalil umren

    abas hisab-o-shumar us ka jo gosht is sal naKHunon se juda hua hai

    sikuDte lamhe ki ek sarhad se ta-ba-hadd-e-digar wahi kar-e-satr-poshi

    wo mu-e-tan ho ki tar-e-pamba ki baal-o-par aks-e-aina ke

    har ek katran pe zardiyan banTne daraKHton ke faisle hain

    udas patta

    KHizan ka pani nae maani nahin samajhta

    so nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 378)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now