Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

numu

MORE BYShehla H. Naqvi

    ḳhizāñ ke daur meñ phailī barahna shāḳhoñ ne

    jaḌoñ tarah se rañg-e-shafaq ko chūsā thā

    sunahrī dhuup tābāniyoñ ko jazb kiyā

    safed barf narmī ko yuuñ samoyā thā

    ki ab bahār ke aane pe vo gulābī shafaq

    guloñ ke ruup meñ shāḳhoñ pe phuuT aa.ī hai

    safed barf ne phūloñ pañkhuḌī badan

    sunahrī dhuup ne piile guloñ ko Dhālā hai

    bahār ye tasavvur javān rakhtā hai

    ḳhizāñ-o-yās ke phailā.e yaḳh nazāroñ meñ

    ḳhayāl-e-zīst ḳhushī kāmrāniyoñ ko mirī

    KHizan ke daur mein phaili barahna shaKHon ne

    jaDon ki tarah se rang-e-shafaq ko chusa tha

    sunahri dhup ki tabaniyon ko jazb kiya

    safed barf ki narmi ko yun samoya tha

    ki ab bahaar ke aane pe wo gulabi shafaq

    gulon ke rup mein shaKHon pe phuT aai hai

    safed barf ne phulon ki pankhuDi ka badan

    sunahri dhup ne pile gulon ko Dhaala hai

    bahaar ka ye tasawwur jawan rakhta hai

    KHizan-o-yas ke phailae yaKH nazaron mein

    KHayal-e-zist KHushi kaamraniyon ko meri

    Source:

    Nakhl-e-Maryam (Pg. 125)

    • Author: Shehla H. Naqvi
      • Publisher: Pakistaanii Adab Publications, Karachi
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now