Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nuqrai tilism

Azra Naqvi

nuqrai tilism

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    raat tārīk thī ik kaale samundar tarah

    ajnabī des thā tanhā.ī thī

    jagmagāte hue bāzāroñ be-kaif fazā

    aur bojhal kiye detī thī jism-o-jāñ ko

    shahar had se pare

    duur tak phaile hue ret saffākī thī

    āsmān dhuul meñ lipTā ho tā-hadd-e-nazar

    koī saaya na sarāb

    car meñ bajtā huā giit bhī alfāz takrār thā

    be-rūh thī lai

    phir achānak mujhe mānūs se ik lams ne bedār kiyā

    thapkiyāñ de ke mire shāne par

    pyaar se sargoshī

    maiñ tire saath yahāñ tak aayā

    maiñ abhī chuum ke aayā huuñ tirī ḳhāk-e-vatan

    terī galiyāñ tire mānūs dar-o-bām terā ghar āñgan

    tere māñ-bāp ke āzurda se mushfiq chehre

    muntazir āñkhoñ ḳhāmoshī ko chuum aayā huuñ

    tere āñgan chamelī duā laayā huuñ

    yaad hai yaad hai

    koī kahtā rahā

    vo september ḳhunuk raat thī maiñ thā tum thiiñ

    radio par koī bajtī huī spanish dhun

    duur pīpal ke ghane jañgal meñ

    ham ko mad.hosh kiye detī thī

    yaad hai

    tujh ko laḌakpan meñ kabhī

    aam ke baur bele chamelī mahak saath liye

    kachche āñgan meñ jhuke niim shāḳhoñ meñ havā bahtī thī

    aur ham donoñ bahut der talak jāgte the

    raaz bāteñ kiyā karte the

    koī kahtā rahā

    yaad karo yaad karo

    diip se diip jale yādoñ ke

    aur kuchh aisā huā

    yak-ba-yak chalne lagī bād-e-sabā najd ke sahrāoñ meñ

    aur ik nuur dariyā nazar aane lagā sahrā meñ

    car ke band darīche se utar aayā mirī god meñ chāñd

    raat tarik thi ek kale samundar ki tarah

    ajnabi des tha tanhai thi

    jagmagate hue bazaron ki be-kaif faza

    aur bojhal sa kiye deti thi jism-o-jaan ko

    shahar ki had se pare

    dur tak phaile hue ret ki saffaki thi

    aasman dhul mein lipTa ho ta-hadd-e-nazar

    koi saya na sarab

    car mein bajta hua git bhi alfaz ki takrar tha

    be-ruh thi lai

    phir achanak mujhe manus se ek lams ne bedar kiya

    thapkiyan de ke mere shane par

    pyar se sargoshi ki

    main tere sath yahan tak aaya

    main abhi chum ke aaya hun teri KHak-e-watan

    teri galiyan tere manus dar-o-baam tera ghar aangan

    tere man-bap ke aazurda se mushfiq chehre

    muntazir aankhon ki KHamoshi ko chum aaya hun

    tere aangan ki chameli ki dua laya hun

    yaad hai yaad hai

    koi kahta hi raha

    wo september ki KHunuk raat thi main tha tum thin

    radio par koi bajti hui spanish dhun

    dur pipal ke ghane jangal mein

    hum ko madhosh kiye deti thi

    yaad hai

    tujh ko laDakpan mein kabhi

    aam ke baur ki bele ki chameli ki mahak sath liye

    kachche aangan mein jhuke nim ki shaKHon mein hawa bahti thi

    aur hum donon bahut der talak jagte the

    raaz ki baaten kiya karte the

    koi kahta hi raha

    yaad karo yaad karo

    dip se dip jale yaadon ke

    aur kuchh aisa hua

    yak-ba-yak chalne lagi baad-e-saba najd ke sahraon mein

    aur ek nur ka dariya sa nazar aane laga sahra mein

    car ke band dariche se utar aaya meri god mein chand

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now