Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nusKHe

MORE BYKaif Ahmed Siddiqui

    agar tere me.ade meñ hai kuchh girānī

    to lemū ras le adrak paanī

    agar daañt ke dard se hai bekal

    to sarsoñ tel aur sendhā namak mal

    thakan se agar tere a.azā haiñ Dhīle

    to thoḌā gungunā duudh le

    gale meñ ḳharābī hai nazle ke maare

    to namkīn paanī ke kar le ġharāre

    agar ḳhuuñ hai kam aur balġham ziyāda

    to gājar bhī khā aur shaljam ziyāda

    jigar ke dam se hai insān jiitā

    jigar maraz hai to khā le papītā

    agar zehn kamzor rahtā hai aksar

    to khā shahd ke saath bādām ghis kar

    agar tujh ko ehsās hai zo.af-e-dil

    to har roz le āñvle murabba

    agar tere meade mein hai kuchh girani

    to lemu ka ras pi le adrak ka pani

    agar dant ke dard se tu hai bekal

    to sarson ka tel aur sendha namak mal

    thakan se agar tere aaza hain Dhile

    to thoDa sa tu gunguna dudh pi le

    gale mein KHarabi hai nazle ke mare

    to namkin pani ke kar le gharare

    agar KHun hai kam aur balgham ziyaada

    to gajar bhi kha aur shaljam ziyaada

    jigar hi ke dam se hai insan jita

    jigar ka maraz hai to kha le papita

    agar zehn kamzor rahta hai aksar

    to kha shahd ke sath baadam ghis kar

    agar tujh ko ehsas hai zoaf-e-dil ka

    to har roz le aanwle ka murabba

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now