nur-jahan ka mazar
din ko bhī yahāñ shab kī siyāhī kā samāñ hai
kahte haiñ ye ārām-gah-e-nūr-jahāñ hai
muddat huī vo sham.a tah-e-ḳhāk nihāñ hai
uThtā magar ab tak sar-e-marqad se dhuāñ hai
jalvaoñ se ayaañ jin ke huā tuur kā aalam
turbat pe hai un ke shab-e-daijūr kā aalam
ai husn-e-jahāñ-soz kahāñ haiñ vo sharāre
kis baaġh ke gul ho ga.e kis arsh ke taare
kyā ban ga.e ab kirmak-e-shab-tāb vo saare
har shaam chamakte haiñ jo raavī ke kināre
yā ho ga.e vo daaġh jahāñgīr ke dil ke
qābil hī to the āshiq-e-dil-gīr ke dil ke!
tujh sī malika ke liye bāra-darī hai
ġhālīcha sar-e-farsh hai koī na darī hai
kyā ālam-e-bechārgī ai tāj-varī hai
din ko yahīñ bisrām yahīñ shab-basrī hai
aisī kisī jogan kī bhī kuTiyā nahīñ hotī
hotī ho magar yuuñ sar-e-sahrā nahīñ hotī
ta.avīz-e-lahad hai zabar o zer ye andher
ye daur-e-zamāna ke ulaT pher ye andher
āñgan meñ paḌe gard ke haiñ Dher ye andher
ai gardish-e-ayyām ye andher! ye andher
māh-e-falak-e-husn ko ye burj milā hai
ai charḳh tire husn-e-navāzish kā gilā hai
hasrat hai Tapaktī dar-o-dīvār se kyā kyā
hotā hai asar dil pe in āsār se kyā kyā
naale haiñ nikalte dil-afgār se kyā kyā
uThte haiñ sharar aah sharbār se kyā
ye ālam-e-tanhā.ī ye dariyā kā kinārā
hai tujh sī hasīna ke liye hū kā nazārā
chau-pā.e jo ghabrāte haiñ garmī se to aksar
ārām liyā karte haiñ is rauze meñ aa kar
aur shaam ko bālā.ī siyah ḳhānoñ se shappar
uḌ uḌ ke lagāte haiñ dar-o-bām ke chakkar
ma.amūr hai yuuñ mahfil-e-jānāñ na kisī kī
ābād rahe gor-e-ġharībāñ na kisī kī
ārāsta jin ke liye gulzār o chaman the
jo nāzukī meñ daaġh dah-e-barg-e-saman the
jo gul-ruḳh o gul-pairahan o ġhuncha-dahan the
shādāb gul-e-tar se kahīñ jin ke badan the
pazhmurda vo gul dab ke hue ḳhaak ke nīche
ḳhvābīda haiñ ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk ke nīche
rahne ke liye diida o dil jin ke makāñ the
jo paikar-e-hastī ke liye rūh-e-ravāñ the
mahbūb-e-dil-ḳhulq the jāñ-baḳhsh-e-jahāñ the
the yūsuf-e-sānī ki masīhā-e-zamāñ the
jo kuchh the kabhī the magar ab kuchh bhī nahīñ haiñ
TuuTe hue pinjar se paḌe zer-e-zamīñ haiñ
duniyā kā ye anjām hai dekh ai dil-e-nādāñ
haañ bhuul na jaa.e tujhe ye madfan-e-vīrāñ
baaqī haiñ na vo baaġh na vo qasr na aivāñ
ārām ke asbāb na vo aish ke sāmāñ
TuuTā huā ik sāhil-e-rāvī pe makāñ hai
din ko bhī jahāñ shab kī siyāhī kā samāñ hai
din ko bhi yahan shab ki siyahi ka saman hai
kahte hain ye aaram-gah-e-nur-jahan hai
muddat hui wo shama tah-e-KHak nihan hai
uThta magar ab tak sar-e-marqad se dhuan hai
jalwaon se ayan jin ke hua tur ka aalam
turbat pe hai un ke shab-e-daijur ka aalam
ai husn-e-jahan-soz kahan hain wo sharare
kis bagh ke gul ho gae kis arsh ke tare
kya ban gae ab kirmak-e-shab-tab wo sare
har sham chamakte hain jo rawi ke kinare
ya ho gae wo dagh jahangir ke dil ke
qabil hi to the aashiq-e-dil-gir ke dil ke!
tujh si malika ke liye bara-dari hai
ghaalicha sar-e-farsh hai koi na dari hai
kya aalam-e-bechaargi ai taj-wari hai
din ko yahin bisram yahin shab-basri hai
aisi kisi jogan ki bhi kuTiya nahin hoti
hoti ho magar yun sar-e-sahra nahin hoti
tawiz-e-lahad hai zabar o zer ye andher
ye daur-e-zamana ke ulaT pher ye andher
aangan mein paDe gard ke hain Dher ye andher
ai gardish-e-ayyam ye andher! ye andher
mah-e-falak-e-husn ko ye burj mila hai
ai charKH tere husn-e-nawazish ka gila hai
hasrat hai Tapakti dar-o-diwar se kya kya
hota hai asar dil pe in aasar se kya kya
nale hain nikalte dil-afgar se kya kya
uThte hain sharar aah sharbar se kya
ye aalam-e-tanhai ye dariya ka kinara
hai tujh si hasina ke liye hu ka nazara
chau-pae jo ghabraate hain garmi se to aksar
aaram liya karte hain is rauze mein aa kar
aur sham ko baalai siyah KHanon se shappar
uD uD ke lagate hain dar-o-baam ke chakkar
mamur hai yun mahfil-e-jaanan na kisi ki
aabaad rahe gor-e-ghariban na kisi ki
aarasta jin ke liye gulzar o chaman the
jo nazuki mein dagh dah-e-barg-e-saman the
jo gul-ruKH o gul-pairahan o ghuncha-dahan the
shadab gul-e-tar se kahin jin ke badan the
pazhmurda wo gul dab ke hue KHak ke niche
KHwabida hain KHar-o-KHas-o-KHashak ke niche
rahne ke liye dida o dil jin ke makan the
jo paikar-e-hasti ke liye ruh-e-rawan the
mahbub-e-dil-KHulq the jaan-baKHsh-e-jahan the
the yusuf-e-sani ki masiha-e-zaman the
jo kuchh the kabhi the magar ab kuchh bhi nahin hain
TuTe hue pinjar se paDe zer-e-zamin hain
duniya ka ye anjam hai dekh ai dil-e-nadan
han bhul na jae tujhe ye madfan-e-viran
baqi hain na wo bagh na wo qasr na aiwan
aaram ke asbab na wo aish ke saman
TuTa hua ek sahil-e-rawi pe makan hai
din ko bhi jahan shab ki siyahi ka saman hai
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.