Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

online aashiq

Khalid Irfan

online aashiq

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    Interesting Fact

    A hilarious account of love in the era of internet and technology.

    net ījād huā hijr ke māroñ ke liye

    search engine hai baḌī chiiz kuñvāroñ ke liye

    jis ko sadma shab-e-tanhā.ī ke ayyām hai

    aise āshiq ke liye net bahut kaam hai

    net farhād ko shīrīñ se milā detā hai

    ishq insān ko goggle pe biThā detā hai

    kaam maktūb mouse se liyā jaatā hai

    āh-e-sozāñ ko bhī upload kiyā jaatā hai

    text meñ log mohabbat ḳhatā bhejte haiñ

    ghar batāte nahīñ office patā bhejte haiñ

    āshiqoñ ye nayā taur nayā Type hai

    pahle chilman huā kartī thī ab skype hai

    ishq kahte haiñ jise ik nayā samjhauta hai

    pahle dil milte the ab naam click hotā hai

    dil paiġhām jab email se mil jaatā hai

    mel har chauk pe female se mil jaatā hai

    ishq naam faqat āh-o-fuġhāñ thā pahle

    Dāk-ḳhāne meñ ye ārām kahāñ thā pahle

    iD jab se milī hai mujhe ham-sā.ī

    achchhī lagtī hai tavālat shab-e-tanhā.ī

    net pe log jo navve se palas hote haiñ

    baiThe rahte haiñ vo Tas hote haiñ na mas hote haiñ

    facebōk kūcha-e-jānāñ se hai miltī-jultī

    har hasīna yahāñ mil jā.egī hiltī-jultī

    ye mobile kisī āshiq ne banāyā hogā

    us ko mahbūb ke abbā ne satāyā hogā

    text jab āshiq-e-barqī aTak jaatā hai

    tālib-e-shauq to suulī pe laTak jaatā hai

    online tire āshiq yahī taur sahī

    nahīñ aur sahī aur nahīñ aur sahī

    net ijad hua hijr ke maron ke liye

    search engine hai baDi chiz kunwaron ke liye

    jis ko sadma shab-e-tanhai ke ayyam ka hai

    aise aashiq ke liye net bahut kaam ka hai

    net farhad ko shirin se mila deta hai

    ishq insan ko goggle pe biTha deta hai

    kaam maktub ka mouse se liya jata hai

    aah-e-sozan ko bhi upload kiya jata hai

    text mein log mohabbat ki KHata bhejte hain

    ghar batate nahin office ka pata bhejte hain

    aashiqon ka ye naya taur naya Type hai

    pahle chilman hua karti thi ab skype hai

    ishq kahte hain jise ek naya samjhauta hai

    pahle dil milte the ab nam click hota hai

    dil ka paigham jab email se mil jata hai

    mel har chauk pe female se mil jata hai

    ishq ka nam faqat aah-o-fughan tha pahle

    Dak-KHane mein ye aaram kahan tha pahle

    iD jab se mili hai mujhe ham-sai ki

    achchhi lagti hai tawalat shab-e-tanhai ki

    net pe log jo nawwe se palas hote hain

    baiThe rahte hain wo Tas hote hain na mas hote hain

    facebook kucha-e-jaanan se hai milti-julti

    har hasina yahan mil jaegi hilti-julti

    ye mobile kisi aashiq ne banaya hoga

    us ko mahbub ke abba ne sataya hoga

    text jab aashiq-e-barqi ka aTak jata hai

    talib-e-shauq to suli pe laTak jata hai

    online tere aashiq ka yahi taur sahi

    tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now