Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

open heart surgery

Razi Haider Gilani

open heart surgery

Razi Haider Gilani

MORE BYRazi Haider Gilani

    pahlī āvāz ġhussailī garajtī

    dekhiyo mat kholiyo is vish bhare muuzī muñh

    dekhiyo in rāstoñ meñ jal bujhegī raushnī

    āsmāñ ke jism uude jism se risne lagegī piip bhī

    dūsrī āvāz Darte hue sargoshī

    us dhaḌkan se chaltī hai zamāñ nabz

    pahlī āvāz ġhussailī garajtī

    aur terī zabāñ chup

    zamharīrī saañs us asr-e-yaḳhbandān le aa.egī getī par

    mat kholiyo

    mat kholiyo

    dekhne ko merā siina hai dar-asl us kachhār

    jis Dhalvānoñ ke daldal lothaḌe haiñ ḳhuun ke

    jis pe ug aa.iiñ haiñ ḳhud-rau jhāḌiyāñ kuchh saañs

    ghaat meñ aa jā.egā us pret ke

    baagh ke sar saañp ke dhaḌ vaalā ye ifrīt

    khob degā daañt gardan meñ tirī

    dekhiyo mat kholiyo

    mat kholiyo is vish bhare muuzī muñh

    azhdar muñh

    ajgar muñh

    af.ī muñh

    is vish bhare muuzī muñh

    ye rageñ

    duur tak phailī huī

    barzaḳh talak phailī huī jaḌ

    gaḌ na jaa.eñ tujh meñ bhī

    ye surḳh saañp us kīna-var dum haiñ

    khā saktī haiñ sab duniyā sabz

    dekhiyo ye bhuut ādam-ḳhor hai

    saañs letā har manush khā jā.egā

    mat kholiyo

    mat kholiyo is vish bhare muuzī muñh

    is ḳhabīs āzārda ko marne de

    is jhaḌūs īzā-rasāñ ko marne de

    is ke mar jaane meñ insāñ bhalā

    is ke mar jaane meñ yazdāñ bhalā

    pahli aawaz ghussaili garajti

    dekhiyo mat kholiyo is wish bhare muzi ka munh

    dekhiyo in raston mein jal bujhegi raushni

    aasman ke jism ude jism se risne lagegi pip bhi

    dusri aawaz Darte hue sargoshi

    us ki dhaDkan hi se chalti hai zaman ki nabz

    pahli aawaz ghussaili garajti

    aur teri zaban chup

    zamhariri sans us ki asr-e-yaKHbandan le aaegi geti par

    mat kholiyo

    mat kholiyo

    dekhne ko mera sina hai dar-asl us ki kachhaar

    jis ki Dhalwanon ke daldal lothaDe hain KHun ke

    jis pe ug aain hain KHud-rau jhaDiyan kuchh sans ki

    ghat mein aa jaega us pret ke

    bagh ke sar sanp ke dhaD wala ye ifrit

    khob dega dant gardan mein teri

    dekhiyo mat kholiyo

    mat kholiyo is wish bhare muzi ka munh

    azhdar ka munh

    ajgar ka munh

    afi ka munh

    is wish bhare muzi ka munh

    ye ragen

    dur tak phaili hui

    barzaKH talak phaili hui jaD

    gaD na jaen tujh mein bhi

    ye surKH sanp us kina-war ki dum hain

    kha sakti hain sab duniya ka sabz

    dekhiyo ye bhut aadam-KHor hai

    sans leta har manush kha jaega

    mat kholiyo

    mat kholiyo is wish bhare muzi ka munh

    is KHabis aazarda ko marne de

    is jhaDus iza-rasan ko marne de

    is ke mar jaane mein insan ka bhala

    is ke mar jaane mein yazdan ka bhala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now