Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

os

MORE BYAnsar Ahmad

    raat meñ jab saaf hotā hai hamārā āsmāñ

    tab zamīñ sat.h ho jaatī hai ThanDī jān-e-jāñ

    jab havā chhūtī hai is ThanDī havā ko shauq se

    tab havā ThanDak se ho jaatī namī labrez hai

    jaise us meñ harārat kamī aa jaatī hai

    bhaap vo paanī chhoTī buuñd meñ Dhal jaatī hai

    chhoTī chhoTī buuñd shakloñ meñ aa kar ghaas par

    motiyoñ shakl meñ phir vo utar kar ghaas par

    āsmāñ os in pattoñ ko chamkāne lagī

    dūsre lafzoñ meñ in ko os nahlāne chalī

    is se un paudoñ ko phir se tāzgī mil jaatī hai

    aur murjhā.e guloñ ko zindagī mil jaatī hai

    ThanDī ThanDī os par tafrīh hotī hai mufīd

    aur sehat kuchh na kuchh phir jaag jaatī hai umiid

    is liye bedār ho jaao savere sub.h ko

    os par rozāna dauḌo savere sub.h ko

    raat mein jab saf hota hai hamara aasman

    tab zamin ki sath ho jati hai ThanDi jaan-e-jaan

    jab hawa chhuti hai is ThanDi hawa ko shauq se

    tab hawa ThanDak se ho jati nami labrez hai

    jaise hi us mein hararat ki kami aa jati hai

    bhap wo pani ki chhoTi bund mein Dhal jati hai

    chhoTi chhoTi bund ki shaklon mein aa kar ghas par

    motiyon ki shakl mein phir wo utar kar ghas par

    aasman ki os in patton ko chamkane lagi

    dusre lafzon mein in ko os nahlane chali

    is se un paudon ko phir se tazgi mil jati hai

    aur murjhae gulon ko zindagi mil jati hai

    ThanDi ThanDi os par tafrih hoti hai mufid

    aur sehat ki kuchh na kuchh phir jag jati hai umid

    is liye bedar ho jao sawere subh ko

    os par rozana hi dauDo sawere subh ko

    Source:

    Yeh Kainat (Pg. 97)

    • Author: Ansar Ahmad
      • Publisher: Ansar Ahmad
      • Year of Publication: 2015

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now