Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pap-biti

Asrar jamayee

pap-biti

Asrar jamayee

MORE BYAsrar jamayee

    pesh hai 'asrār' ta.alīm ab carēr

    imtihāñ jab bhī diyā pistaul rakh kar desk par

    kaisā paḌhnā kaisā likhnā ghar ho dār-ul-ulūm

    bas maTargashtī kiyā kartā thā din bhar raat bhar

    naql-mārī karte karte āḳhir m a ho gayā

    aaj hai sher-o-adab meñ naam us mo'atabar

    thā jo dhur-phañdī meñ māhir karke thoḌī joḌ-toḌ

    ghuus de kar ek college meñ banā vo lecturer

    dūsroñ ke notes paḌh kar dars bhī dene lagā

    aur professor lagā likhne vo ḳhud ko be-ḳhatar

    de ke moTī raqam thesis bhī hāsil kar

    ban gayā likh loḌhā paḌh patthar adab doctor

    vaqt ne kuchh push kiyā to ban gayā reader bhī vo

    aur āḳhir meñ professor banā be-dard-e-sar

    dekh lenā ek din ki chamcha-gīrī ke tufail

    vo akaḌtā phir rahā hai ban ke vice-chancellor

    pesh hai 'asrar' ki talim ka ab career

    imtihan jab bhi diya pistaul rakh kar desk par

    kaisa paDhna kaisa likhna ghar ho ya dar-ul-ulum

    bas maTargashti kiya karta tha din bhar raat bhar

    naql-mari karte karte aaKHir m a ho gaya

    aaj hai sher-o-adab mein nam us ka mo'atabar

    tha jo dhur-phandi mein mahir karke thoDi joD-toD

    ghus de kar ek college mein bana wo lecturer

    dusron ke notes paDh kar dars bhi dene laga

    aur professor laga likhne wo KHud ko be-KHatar

    de ke moTi si raqam thesis bhi hasil kar hi li

    ban gaya likh loDha paDh patthar adab ka doctor

    waqt ne kuchh push kiya to ban gaya reader bhi wo

    aur aaKHir mein professor bana be-dard-e-sar

    dekh lena ek din ki chamcha-giri ke tufail

    wo akaDta phir raha hai ban ke wice-chancellor

    Source:

    Shair-e-Aazam (Pg. 86)

    • Author: Asrar jamayee
      • Publisher: All India Human Conference, Delhi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now