Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patal zamin aasman

Ahmad Zafar

patal zamin aasman

Ahmad Zafar

MORE BYAhmad Zafar

    kahānī ke saare parinde

    bahut duur shāyad ufuq meñ

    kahīñ munjamid ho ga.e haiñ

    shajar zard pattoñ tasvīr ban kar

    alāmat tahrīr ban kar

    bikharne lagā hai

    kisī jhiil ke ā.īne meñ vo mah-vash

    badan ke kisī zāviye se nikalne ḳhvāhish meñ

    palkeñ uThā.e hue dekhtī rah ga.ī hai

    parindoñ mānind maiñ bhī yahāñ thā

    magar ab nahīñ huuñ

    ki hone ḳhvāhish ne shāyad mujhe bhī

    ḳhalā meñ muallaq sitāroñ mānind gum kar diyā hai

    na ab mausamoñ ke sitam haiñ

    na ab raat sard āmezishoñ meñ ThiThurne rāhat āvāz dete haiñ mujh ko

    na patthar mānind hāthoñ meñ sūraj

    rag-o-pai meñ mere lahū harārat banegā

    zamāna koī shobada-gar

    mujhe duur duur le rahā hai

    ki maiñ nīm-vā ġhaar sīḌhiyoñ meñ utarne lagā huuñ

    charāġh-e-tilismāt milne se pahle

    zamīn ne mujhe apnī āġhosh meñ le liyā hai

    duā bad-duā ban ga.ī hai

    ki har lafz ke dā.ere se lahū ris rahā hai

    kisī sānehe ne zamīñ se falak taraf jaate jaate

    mujhe bhī sitāroñ meñ gum kar diyā hai

    ki maiñ apne saa.e dahlīz par

    lazzat-e-āshnā.ī meñ khoyā huā ajnabī huuñ

    kahani ke sare parinde

    bahut dur shayad ufuq mein

    kahin munjamid ho gae hain

    shajar zard patton ki taswir ban kar

    alamat ki tahrir ban kar

    bikharne laga hai

    kisi jhil ke aaine mein wo mah-wash

    badan ke kisi zawiye se nikalne ki KHwahish mein

    palken uThae hue dekhti rah gai hai

    parindon ki manind main bhi yahan tha

    magar ab nahin hun

    ki hone ki KHwahish ne shayad mujhe bhi

    KHala mein muallaq sitaron ki manind gum kar diya hai

    na ab mausamon ke sitam hain

    na ab raat ki sard aamezishon mein ThiThurne ki rahat hi aawaz dete hain mujh ko

    na patthar ki manind hathon mein suraj

    rag-o-pai mein mere lahu ki hararat banega

    zamana koi shobada-gar

    mujhe dur hi dur le ja raha hai

    ki main nim-wa ghaar ki siDhiyon mein utarne laga hun

    charagh-e-tilismat milne se pahle

    zamin ne mujhe apni aaghosh mein le liya hai

    dua bad-dua ban gai hai

    ki har lafz ke daere se lahu ris raha hai

    kisi sanehe ne zamin se falak ki taraf jate jate

    mujhe bhi sitaron mein gum kar diya hai

    ki main apne sae ki dahliz par

    lazzat-e-ashnai mein khoya hua ajnabi hun

    Source:

    siip-volume-46 (Pg. 142)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now