Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahla patthar

Musavvir Sabzwari

pahla patthar

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    maiñ tire shahar meñ phirtā rahā sargardāñ

    shāh-rāhoñ ke har ik moḌ pe hairāñ hairāñ

    ābla-pā jigar afgār karāñ tā-ba-karāñ

    isī ummīd pe shāyad ki koī pahchāne

    justujū ek bagūle ke anāsir chhāne

    shauq-e-rusvā pazīrā.ī ke huuñ afsāne

    lekin is shahr-e-sitam-pesha meñ kuchh bhī na huā

    mirī jānib koī gul-posh darīcha na khulā

    kisī āñchal kisī badlī na umDī chhāyā

    na koī dast-e-sabā thā na kahīñ bū-e-habīb

    bām-dar-bām thī be-mehr nigāhoñ salīb

    har jharoke meñ thī ik shaam mah-o-ḳhur raqīb

    sail-e-vahshat ko chhupā.e meñ guzartā rahā

    ek be-rabt fasāna thā bikhartā rahā

    dahna-e-vaqt rag-o-pai meñ utartā rahā

    āḳhir ik ku-e-malāmat meñ qadam aa pahuñche

    nāvak andāzoñ ke andāz meñ ġham aa pahuñche

    ḳhair-maqdam ko safīrān-e-sitam aa pahuñche

    pheñk kar chashm-e-farāmosh pahlā patthar

    ne bas ġhurfa-e-ummīd se dekhā chhup kar

    ek dīvāne pe pathrāv ḳhūnī manzar

    sañg uThte rahe haath lapakte rahe

    aañkh rotī rahī sharm-e-shanāsā.ī ko

    kisī lailā taraf se ye munādī na huī

    koī patthar se na maare mire saudā.ī ko

    main tere shahar mein phirta hi raha sargardan

    shah-rahon ke har ek moD pe hairan hairan

    aabla-pa jigar afgar karan ta-ba-karan

    isi ummid pe shayad ki koi pahchane

    justuju ek bagule ke anasir chhane

    shauq-e-ruswa ki pazirai ke hun afsane

    lekin is shahr-e-sitam-pesha mein kuchh bhi na hua

    meri jaanib koi gul-posh daricha na khula

    kisi aanchal kisi badli ki na umDi chhaya

    na koi dast-e-saba tha na kahin bu-e-habib

    baam-dar-baam thi be-mehr nigahon ki salib

    har jharoke mein thi ek sham mah-o-KHur ki raqib

    sail-e-wahshat ko chhupae mein guzarta hi raha

    ek be-rabt fasana tha bikharta hi raha

    dahna-e-waqt rag-o-pai mein utarta hi raha

    aaKHir ek ku-e-malamat mein qadam aa pahunche

    nawak andazon ke andaz mein gham aa pahunche

    KHair-maqdam ko safiran-e-sitam aa pahunche

    phenk kar chashm-e-faramosh ka pahla patthar

    tu ne bas ghurfa-e-ummid se dekha chhup kar

    ek diwane pe pathraw ka KHuni manzar

    sang uThte hi rahe hath lapakte hi rahe

    aankh roti hi rahi sharm-e-shanasai ko

    kisi laila ki taraf se ye munadi na hui

    koi patthar se na mare mere saudai ko

    Source:

    Manjhii dhire chal (Pg. 98)

    • Author: Musavvir Sabzwari
      • Edition: 1971
      • Publisher: Nazish Book Center
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now