paigham-e-id
chandā maamā kal kī shaam
ḳhushiyoñ kā laanā paiġhām
ghar ghar aa.e sub.h-e-'īd
sab kī puurī ho ummīd
chehre par yuuñ jaage nuur
dil se ġham ho kosoñ duur
ġhusl se ho kar paak aur saaf
bachche jab pahneñ poshāk
mausam meñ hariyālī aa.e
giit jahāñ ḳhushiyoñ ke gaa.e
vāhid afzal aur yā'qūb
duudh siva.iyāñ khaao ḳhuub
sadqa-e-fitr adā bhī karnā
mohtājoñ ke dāman bharnā
dushman ko yuuñ karnā shaad
de aḳhlāq kī duniyā daad
paḌh ke namāz-e-vājib tum
rab se kahnā rāġhib tum
maulā sab ko ek banā
ham bachchoñ ko nek banā
chanda mama kal ki sham
KHushiyon ka lana paigham
ghar ghar aae subh-e-'id
sab ki puri ho ummid
chehre par yun jage nur
dil se gham ho koson dur
ghusl se ho kar pak aur saf
bachche jab pahnen poshak
mausam mein hariyali aae
git jahan KHushiyon ke gae
wahid afzal aur ya'qub
dudh siwaiyan khao KHub
sadqa-e-fitr ada bhi karna
mohtajon ke daman bharna
dushman ko yun karna shad
de aKHlaq ki duniya dad
paDh ke namaz-e-wajib tum
rab se kahna raghib tum
maula sab ko ek bana
hum bachchon ko nek bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.