Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pal bhar ka mehman

Ghalib Ahmad

pal bhar ka mehman

Ghalib Ahmad

MORE BYGhalib Ahmad

    kaun aayā hai

    ye kis ne phūñk kar rakhe qadam

    dahlīz par chup-chāp choroñ tarah

    raat tārīkiyoñ meñ sarsarāhaT saañp

    saañs ko siine ke andar rok lo

    sun na le qadmoñ aahaT

    dil dhaḌkan ko kaho chup saadh le

    dil dar to na thā

    par vo to darvāze se andar aa gayā

    us ne dastak bhī na

    ek saa.e tarah hai saath saath

    kyā kareñ kis ko bulā.eñ

    kyā kaheñ ye kaun hai

    chup-chāp be-āvāz

    gum-sum sāmne baiThā huā

    yuuñ to sab kuchh hai

    agar socho to ye kuchh bhī nahīñ

    vahm-o-gumāñ

    kaun ab DhūñDe use

    vo to aa kar raat tārīkiyoñ meñ

    is tarah ghul-mil gayā

    jaise apnā jism ho us libās

    ham ne dekhā hai use

    jo ḳhud se bhī rū-posh hai

    vo hamārī ruuh gardish meñ hai

    aur hamāre jism se sairāb hai

    ab agar tum so sako to so raho

    ab vo jā.egā kahāñ

    ab vo shāyad phir na aa.egā kabhī

    kaun aaya hai

    ye kis ne phunk kar rakhe qadam

    dahliz par chup-chap choron ki tarah

    raat ki tarikiyon mein sarsarahaT sanp ki

    sans ko sine ke andar rok lo

    sun na le qadmon ki aahaT

    dil ki dhaDkan ko kaho chup sadh le

    dil ka dar wa to na tha

    par wo to darwaze se andar aa gaya

    us ne dastak bhi na di

    ek sae ki tarah hai sath sath

    kya karen kis ko bulaen

    kya kahen ye kaun hai

    chup-chap be-awaz

    gum-sum samne baiTha hua

    yun to sab kuchh hai

    agar socho to ye kuchh bhi nahin

    wahm-o-guman

    kaun ab DhunDe use

    wo to aa kar raat ki tarikiyon mein

    is tarah ghul-mil gaya

    jaise apna jism ho us ka libas

    hum ne dekha hai use

    jo KHud se bhi ru-posh hai

    wo hamari ruh ki gardish mein hai

    aur hamare jism se sairab hai

    ab agar tum so sako to so raho

    ab wo jaega kahan

    ab wo shayad phir na aaega kabhi

    Source:

    Rahat-e-Gumnam (Pg. 87)

    • Author: Ghalib Ahmad
      • Publisher: Niyaz Ahmad
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now