Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panah

Naina Adil

panah

Naina Adil

MORE BYNaina Adil

    guzishta bārishoñ be-charāġh rātoñ meñ

    jab kahāniyāñ bunte hue merī aañkh lag jaatī

    to kuttoñ aur bheḌiyoñ bhauñktā ġhurrātā ġhol

    mere ḳhvāboñ par TuuT paḌtā

    merī car ke gird

    aur mere makān ke chaar

    apne apne bāñTe hue ilāqoñ se nikal kar

    mujh par hamla karne ḳhātir

    azalī dushmanoñ Tolā

    ek ho kar

    merī sūñghtā phirtā

    lekin taaza bārishoñ ne

    ḳhvāb aur haqīqat farq miTā diyā hai

    lihāzā

    ab vo maikānikī vaqt ke pāband nahīñ rahe

    aur psychological vaqt ke mutābiq mujhe khojte haiñ

    ek pahar meñ chhiyānve baar

    bhūñkte ġhurrāte aur raal Tapkāte hue

    magar maiñ unheñ kahīñ nahīñ miltī

    na ghar meñ na galī meñ na car meñ

    kyoñ ki ab maiñ ek nazm panāh meñ huuñ

    jis sūñghnā

    un ke bas se bāhar hai

    guzishta barishon ki be-charagh raaton mein

    jab kahaniyan bunte hue meri aankh lag jati

    to kutton aur bheDiyon ka bhaunkta ghurraata ghol

    mere KHwabon par TuT paDta

    meri car ke gird

    aur mere makan ke chaar su

    apne apne banTe hue ilaqon se nikal kar

    mujh par hamla karne ki KHatir

    azali dushmanon ka Tola

    ek ho kar

    meri bu sunghta phirta

    lekin taza barishon ne

    KHwab aur haqiqat ka farq miTa diya hai

    lihaza

    ab wo maikaniki waqt ke paband nahin rahe

    aur psychological waqt ke mutabiq mujhe khojte hain

    ek pahar mein chhiyanwe bar

    bhunkte ghurraate aur ral Tapkate hue

    magar main unhen kahin nahin milti

    na ghar mein na gali mein na car mein

    kyon ki ab main ek nazm ki panah mein hun

    jis ki bu sunghna

    un ke bas se bahar hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now