Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panwaDi

Majeed Amjad

panwaDi

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    būḌhā panvāḌī us ke bāloñ meñ maañg hai nyārī

    āñkhoñ meñ jīvan bujhtī agnī chiñgārī

    naam ik haTTī ke andar bosīda almārī

    aage pītal ke taḳhte par us duniyā saarī

    paan katthā cigarette tambākū chūnā lauñg supārī

    umr us būḌhe panvāḌī paan lagāte guzrī

    chūnā gholte chhāliyāñ kāTte kath pighlāte guzrī

    cigarette ḳhālī Dibiyoñ ke mahal sajāte guzrī

    kitne sharābī mushtriyoñ se nain milāte guzrī

    chand kasīlī pattoñ gutthī suljhāte guzrī

    kaun is gutthī ko suljhā.e duniyā ek pahelī

    do din ek phaTī chādar meñ dukh āñdhī jhelī

    do kaḌvī sāñseñ liiñ do chilmoñ raakh uñDelī

    aur phir is ke ba.ad na pūchho khel jo honī khelī

    panvāḌī arthī uTThī baabā allāh belī

    sub.h bhajan taan manohar jhanan jhanan lahrā.e

    ek chitā raakh havā ke jhoñkoñ meñ kho jaa.e

    shaam ko us kam-sin baalā baiThā paan lagā.e

    jhan jhan Than Than chūne vaalī kaTorī bajtī jaa.e

    ek patiñgā dīpak par jal jaa.e dūsrā aa.e

    buDha panwaDi us ke baalon mein mang hai nyari

    aankhon mein jiwan ki bujhti agni ki chingari

    nam ki ek haTTi ke andar bosida almari

    aage pital ke taKHte par us ki duniya sari

    pan kattha cigarette tambaku chuna laung supari

    umr us buDhe panwaDi ki pan lagate guzri

    chuna gholte chhaaliyan kaTte kath pighlate guzri

    cigarette ki KHali Dibiyon ke mahal sajate guzri

    kitne sharabi mushtriyon se nain milate guzri

    chand kasili patton ki gutthi suljhate guzri

    kaun is gutthi ko suljhae duniya ek paheli

    do din ek phaTi chadar mein dukh ki aandhi jheli

    do kaDwi sansen lin do chilmon ki rakh unDeli

    aur phir is ke baad na puchho khel jo honi kheli

    panwaDi ki arthi uTThi baba allah beli

    subh bhajan ki tan manohar jhanan jhanan lahrae

    ek chita ki rakh hawa ke jhonkon mein kho jae

    sham ko us ka kam-sin baala baiTha pan lagae

    jhan jhan Than Than chune wali kaTori bajti jae

    ek patinga dipak par jal jae dusra aae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    panwaDi Nomaan Shauque

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 88)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now