Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parchhaiyan

Sarfaraz Khalid

parchhaiyan

Sarfaraz Khalid

MORE BYSarfaraz Khalid

    raat qabr meñ saarī parchhā.iyāñ dafn kar do

    chalo din duniyā se kuchh aur parchhā.iyāñ jam.a kar laa.eñ

    aur phir unheñ raat qabr meñ dafn kar deñ sadā ke liye

    zindagī apnī raftār se yūñhī chaltī rahe

    raushnī yūñhī parchhā.iyoñ meñ badaltī rahe

    aur phir ek din ye bhī ho

    ham bhī parchhā.iyoñ meñ badal jaa.eñ aur sab ham ko bhī

    raat qabr meñ dafn kar deñ sadā ke liye

    aur parchhā.iyāñ dafn karne ye silsila

    yūñhī chaltā rahe

    raat ki qabr mein sari parchhaiyan dafn kar do

    chalo din ki duniya se kuchh aur parchhaiyan jama kar laen

    aur phir unhen raat ki qabr mein dafn kar den sada ke liye

    zindagi apni raftar se yunhi chalti rahe

    raushni yunhi parchhaiyon mein badalti rahe

    aur phir ek din ye bhi ho

    hum bhi parchhaiyon mein badal jaen aur sab hum ko bhi

    raat ki qabr mein dafn kar den sada ke liye

    aur parchhaiyan dafn karne ka ye silsila

    yunhi chalta rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now