Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parda-e-zangari

Akhtar Payami

parda-e-zangari

Akhtar Payami

MORE BYAkhtar Payami

    dekh in reshmī pardoñ hadoñ se bāhar

    dekh lohe salāḳhoñ se pare

    dekh saḌkoñ pe ye āvāra-mizājoñ hujūm

    dekh tahzīb ke māroñ hujūm

    apnī āñkhoñ meñ chhupā.e hue armān laash

    qāfile aate chale jaate haiñ

    zindagī ek mahvar sahārā le kar

    nāchte nāchte thak jaatī hai

    nāchte nāchte thak jaatī hai

    tere pur-nūr shabistāñ meñ koī mast shabāb

    jis pāzeb har lai meñ hazāroñ lāsheñ

    chāndnī raat meñ biite hue rūmānoñ

    apnī har saañs se bāñdhe hue paimānoñ

    chīḳhtī chīḳhtī so jaatī haiñ

    ye kashākash ye tasādum ye tazād

    maan letā huuñ ye fitrat fusūñ-kārī hai

    in usūloñ pe qaa.em hai tamaddun nizām

    ye kahtā hai to maiñ bhī tirī ḳhātir ai dost

    maan letā huuñ ye insān taḳhlīq nahīñ

    koī māshūq hai us parda-e-zañgārī meñ

    terā māshūq mire ahd insāñ to nahīñ

    terī tamhīd mirī nazm unvāñ to nahīñ

    dekh in reshmi pardon ki hadon se bahar

    dekh lohe ki salaKHon se pare

    dekh saDkon pe ye aawara-mizajon ka hujum

    dekh tahzib ke maron ka hujum

    apni aankhon mein chhupae hue arman ki lash

    qafile aate chale jate hain

    zindagi ek hi mahwar ka sahaara le kar

    nachte nachte thak jati hai

    nachte nachte thak jati hai

    tere pur-nur shabistan mein koi mast shabab

    jis ki pazeb ki har lai mein hazaron lashen

    chandni raat mein bite hue rumanon ki

    apni har sans se bandhe hue paimanon ki

    chiKHti chiKHti so jati hain

    ye kashakash ye tasadum ye tazad

    man leta hun ye fitrat ki fusun-kari hai

    in usulon hi pe qaem hai tamaddun ka nizam

    tu ye kahta hai to main bhi teri KHatir ai dost

    man leta hun ye insan ki taKHliq nahin

    koi mashuq hai us parda-e-zangari mein

    tera mashuq mere ahd ka insan to nahin

    teri tamhid meri nazm ka unwan to nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now