kahā daraḳht ne ik roz murġh-e-sahrā se
sitam pe ġham-kada-e-rang-o-bū kī hai buniyād
ḳhudā mujhe bhī agar bāl-o-par 'atā kartā
shagufta aur bhī hotā ye ālam-e-ījād
diyā javāb use ḳhuub murġh-e-sahrā ne
ġhazab hai daad ko samjhā huā hai tū bedād
jahāñ meñ lazzat-e-parvāz haq nahīñ us kā
vujūd jis kā nahīñ jazb-e-ḳhāk se āzād
kaha daraKHt ne ek roz murgh-e-sahra se
sitam pe gham-kada-e-rang-o-bu ki hai buniyaad
KHuda mujhe bhi agar baal-o-par 'ata karta
shagufta aur bhi hota ye aalam-e-ijad
diya jawab use KHub murgh-e-sahra ne
ghazab hai dad ko samjha hua hai tu bedad
jahan mein lazzat-e-parwaz haq nahin us ka
wujud jis ka nahin jazb-e-KHak se aazad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.