Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pasti-e-afkar

Sahba lakhnavi

pasti-e-afkar

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    majbūr nahīñ fitrat-e-āzād tumhārī

    phir kyoñ nahīñ karte ho ġhulāmī jigar chaak

    qudrat ne tumheñ ashraf-e-maḳhlūq banāyā

    kyoñ ḳhaak hai ye pastī-e-afkār se namnāk

    jo qaum ho pastī ke ḳhayālāt pe maa.il

    us qaum ko hāsil nahīñ phir rif.at-e-aflāk

    kyoñ gardish-e-ayyām karte ho shikāyat

    kyoñ vus.at-e-āfāq meñ hote nahīñ bebāk

    insān bhī āzād hai fitrat bhī hai āzād

    kyoñ rasm-e-ġhulāmī se fazā saarī hai nāpāk

    'sahbā' tujhe us qaum ġham hai jise apnī

    hālat ke taġhayyur na ehsās na idrāk

    majbur nahin fitrat-e-azad tumhaari

    phir kyon nahin karte ho ghulami ka jigar chaak

    qudrat ne tumhein ashraf-e-maKHluq banaya

    kyon KHak hai ye pasti-e-afkar se namnak

    jo qaum ho pasti ke KHayalat pe mail

    us qaum ko hasil nahin phir rifat-e-aflak

    kyon gardish-e-ayyam ki karte ho shikayat

    kyon wusat-e-afaq mein hote nahin bebak

    insan bhi aazad hai fitrat bhi hai aazad

    kyon rasm-e-ghulami se faza sari hai napak

    'sahba' tujhe us qaum ka gham hai jise apni

    haalat ke taghayyur ka na ehsas na idrak

    Source:

    Mah Pare (Pg. 94)

    • Author: Sahba lakhnavi
      • Publisher: Atiqur Rahman Zikrur Rahman Tajiran-e-Kutub, Bhopal
      • Year of Publication: 1943
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now