Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir lauT chalen

Ahsan Rizwi

phir lauT chalen

Ahsan Rizwi

MORE BYAhsan Rizwi

    sadiyoñ pahle aadmī jangal se

    maidān samt aayā thā

    bastiyāñ basā kar zindagī guzārne ke liye

    magar ab bastiyāñ jangal ban ga.ī haiñ

    jahāñ insān

    jānvar se bad-tar ḳhaslatoñ hāmil ho gayā hai

    chalo phir jangal taraf lauT chaleñ

    fitrat se qarīb hone ke liye

    pur-sukūn zindagī talāsh meñ

    sadiyon pahle aadmi jangal se

    maidan ki samt aaya tha

    bastiyan basa kar zindagi guzarne ke liye

    magar ab bastiyan hi jangal ban gai hain

    jahan insan

    jaanwar se bad-tar KHaslaton ka hamil ho gaya hai

    chalo phir jangal ki taraf lauT chalen

    fitrat se qarib hone ke liye

    pur-sukun zindagi ki talash mein

    Source:

    Sham Se Pahle (Pg. 101)

    • Author: Ahsan Rizwi
      • Publisher: Ahsan Rizwi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now