Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phone aa gaya hai

Ahmad Hatib Siddiqi

phone aa gaya hai

Ahmad Hatib Siddiqi

MORE BYAhmad Hatib Siddiqi

    mire cell pe u k se phone aa gayā hai

    ye mujh meñ jo ik cartōn aa gayā hai

    uchhal kar darūñ se barūñ aa gayā hai

    ki mahfil meñ jaise beyon aa gayā hai

    na samjho ki mujh par junūn aa gayā hai

    mere cell pe u k se phone aa gayā hai

    magan ho ke bāteñ kiye rahā huuñ

    kabhī rahā huuñ kabhī aa rahā huuñ

    khaḌā ho ke ab sar jo sahlā rahā huuñ

    na dekhā ki aage sutūn aa gayā hai

    mire cell pe u k se phone aa gayā hai

    jo ik se shurūa to sab se shurūa

    na pūchho ye ab baat kab se shurūa

    iktīs may jo shab se shurūa

    to bātoñ bātoñ meñ june aa gayā hai

    mire cell pe you ke se phone aa gayā hai

    ye chillā.īñ naanī are kyā huā hai

    ki ik kaan se haath chipkā huā hai

    abhī chup lagī thī abhī hans rahā hai

    abhī josh thā ab sukūn aa gayā hai

    mire cell pe you ke se phone aa gayā hai

    mere cell pe u k se phone aa gaya hai

    ye mujh mein jo ek cartoon aa gaya hai

    uchhal kar darun se barun aa gaya hai

    ki mahfil mein jaise beyon aa gaya hai

    na samjho ki mujh par junun aa gaya hai

    mere cell pe u k se phone aa gaya hai

    magan ho ke baaten kiye ja raha hun

    kabhi ja raha hun kabhi aa raha hun

    khaDa ho ke ab sar jo sahla raha hun

    na dekha ki aage sutun aa gaya hai

    mere cell pe u k se phone aa gaya hai

    jo ek se shurua ki to sab se shurua ki

    na puchho ye ab baat kab se shurua ki

    iktis may ki jo shab se shurua ki

    to baaton hi baaton mein june aa gaya hai

    mere cell pe you ke se phone aa gaya hai

    ye chillain nani are kya hua hai

    ki ek kan se hath chipka hua hai

    abhi chup lagi thi abhi hans raha hai

    abhi josh tha ab sukun aa gaya hai

    mere cell pe you ke se phone aa gaya hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now