Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul khila be-hijab

Anjum Azmi

phul khila be-hijab

Anjum Azmi

MORE BYAnjum Azmi

    dard sauġhāt thī

    raah ke malbūs the kāñToñ ke haar

    moḌ bahut aa.e haiñ

    naam rakhā dasht-o-dar

    aur isī dasht meñ

    bhī thī ḳhāna-ḳharāb maiñ bhī ḳhāna-ḳharāb

    Tal ga.ī sā.at-e-qaht-e-damishq

    hosh sivā hai magar

    hosh nahīñ aa.egā

    jaise baham shabnam-o-gul hoñ yuuñ ḳhvāb-e-ishq

    shabnam-e-ta.abīr se mauj-e-junūñ-ḳhez hai

    chashm-e-fusūñ-sāz ne ek afsāna kahā

    dil ne use sun liyā

    lamha-e-jāved

    ek tafsīr hai

    qasr-e-zuleḳhā meñ aaj

    yūsuf-e-kan.āñ pazīrā.ī hai

    vasl be-tāb khaḌī aa.ī hai

    hīla-e-parvez hai

    dohā charāġh-e-sahar

    Tal ga.ī sā.at-e-qaht-e-damishq

    phuul khilā be-hijāb

    jaag uThe dasht-o-dar

    rañj meñ rāhat meñ bhī

    ek mausam ko milā hai sabāt

    shauq tanvīr se kaise farozāñ haiñ baam

    maiñ ne likhī kā.enāt

    dil ke asīroñ ke naam

    dard ki saughat thi

    rah ke malbus the kanTon ke haar

    moD bahut aae hain

    nam rakha dasht-o-dar

    aur isi dasht mein

    tu bhi thi KHana-KHarab main bhi KHana-KHarab

    Tal hi gai saat-e-qaht-e-damishq

    hosh siwa hai magar

    hosh nahin aaega

    jaise baham shabnam-o-gul hon yun hi KHwab-e-ishq

    shabnam-e-tabir se mauj-e-junun-KHez hai

    chashm-e-fusun-saz ne ek afsana kaha

    dil ne use sun liya

    lamha-e-jawed ki

    ek hi tafsir hai

    qasr-e-zuleKHa mein aaj

    yusuf-e-kanan ki pazirai hai

    wasl ki be-tab khaDi aai hai

    hila-e-parwez hai

    doha charagh-e-sahar

    Tal hi gai saat-e-qaht-e-damishq

    phul khila be-hijab

    jag uThe dasht-o-dar

    ranj mein rahat mein bhi

    ek hi mausam ko mila hai sabaat

    shauq ki tanwir se kaise farozan hain baam

    main ne likhi kaenat

    dil ke asiron ke nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now