Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pichhle janam ki kathaen

Khalilur Rahman Azmi

pichhle janam ki kathaen

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    mujhe kuchh nahīñ gyaan

    ye zindagī kyā hai?

    ye maut kyā hai?

    maiñ kitne dinoñ se yahī sochtā huuñ

    ki maiñ kyā huuñ? maiñ kyā nahīñ huuñ

    marī umr jis tarah guzrī hai

    is ko bhī kyuuñ ik umr kahiye

    ye ik umr meñ taqsīm hai

    aur har lamha ek dūsre se judā hai

    jab ik lamha martā hai

    to dūsrā lamha taḳhlīq paatā hai

    pahlū meñ aa kar mire baiTh jaatā hai

    aur pūchhtā hai tum kaun ho?

    maiñ phir sochtā huuñ

    ki maiñ kaun huuñ?

    kyuuñ ki maiñ pichhle lamhe meñ jo kuchh thā

    vo ab nahīñ huuñ

    to kyā maiñ har ik lamha phir se nayā janm letā huuñ

    har ik lamha ik umr hai?

    to kyā maiñ har ik lamha

    aisī kathā.eñ sunātā huuñ

    jo pichhle janmoñ se mansūb haiñ?

    mujhe kuchh nahin gyan

    ye zindagi kya hai?

    ye maut kya hai?

    main kitne dinon se yahi sochta hun

    ki main kya hun? main kya nahin hun

    mari umr jis tarah guzri hai

    is ko bhi kyun ek umr kahiye

    ye ek umr mein taqsim hai

    aur har lamha ek dusre se juda hai

    jab ek lamha marta hai

    to dusra lamha taKHliq pata hai

    pahlu mein aa kar mere baiTh jata hai

    aur puchhta hai tum kaun ho?

    main phir sochta hun

    ki main kaun hun?

    kyun ki main pichhle lamhe mein jo kuchh tha

    wo ab nahin hun

    to kya main har ek lamha phir se naya janm leta hun

    har ek lamha ek umr hai?

    to kya main har ek lamha

    aisi kathaen sunata hun

    jo pichhle janmon se mansub hain?

    Source:

    Zindagi Ae Zindagi (Pg. 43)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now