Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pital ka sanp

Salam Machhli shahri

pital ka sanp

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    aur pītal ye zahrīlā saañp

    jis nāzuk zabāñ par ye ḳhunuk sham.a lau

    lahr tarah añdhere meñ uThā kartī hai

    mere ik dost ne tohfe meñ mujhe bhejā hai

    haiñ ye tagore ke be-rabt taḳhayyul ke nuqūsh

    aur ye chiin ke naġhmāt majmūa hai

    mez ke goshe pe rakkhā huā gautam ye but

    tum ko achchhā na lagegā shāyad

    muddateñ guzrīñ usī kamre meñ jis meñ ham tum

    guftugū karte the

    is jañg par

    is duniyā par

    aur maujūda adab par ye ḳhayālāt rau

    art aur jañg

    january ye hasīñ raat aur is par ai dost

    ye masahrī jo paḌī hai merī

    jis ke baazū pe ye pītal ke hasīñ saañp aks

    aaj raat bhī lahrātā hai

    tum koī pariyoñ qissa to na samjhoge ise

    maiñ agar tum se kahūñ

    ye ki pītal ke usī saañp ne kaaTā hai use

    ek ma.asūm doshīza ko

    january ye hasīñ raat aur is par ai dast

    mere ārāsta kamre nikhār

    ek pukār

    sard aur maut mānind añdherī ik raat

    būñdeñ jaaḌe

    ġharībī ke musalsal aañsū

    ek aurat jabīñ par taare

    sard tārīk sitāre ya.anī

    ek doshīza ke ruḳhsār pe bosoñ ke nishāñ

    nuqra.ī bose

    tilā.ī bose

    ab bhī har raat usī kamre meñ

    usī shīshe masahrī pe kitābeñ le kar

    ''chīn nazmoñ majmūa

    nuqūsh-e-tagore

    aur kabhī saade se kāġhaz pe ḳhud apne ḳhayāloñ ke liye

    ek sakūñ

    ek gunāhoñ ke liye

    ek qarār''

    kuchh isī qism ke afkār meñ bas Duubā huā

    so jaatā huuñ bahar-hāl ai dost

    mez par rakkhe hue but ke hasīñ saa.e meñ

    aur pītal ye zahrīlā saañp

    sham.a ko Das ke savere se chalā jaatā hai

    ''jañg maut aur gunāh!!''

    aur pital ka ye zahrila sanp

    jis ki nazuk si zaban par ye KHunuk shama ki lau

    lahr ki tarah andhere mein uTha karti hai

    mere ek dost ne tohfe mein mujhe bheja hai

    hain ye tagore ke be-rabt taKHayyul ke nuqush

    aur ye chin ke naghmat ka majmua hai

    mez ke goshe pe rakkha hua gautam ka ye but

    tum ko achchha na lagega shayad

    muddaten guzrin usi kamre mein jis mein hum tum

    guftugu karte the

    is jang par

    is duniya par

    aur maujuda adab par ye KHayalat ki rau

    art aur jang

    january ki ye hasin raat aur is par ai dost

    ye masahri jo paDi hai meri

    jis ke bazu pe ye pital ke hasin sanp ka aks

    aaj ki raat bhi lahraata hai

    tum koi pariyon ka qissa to na samjhoge ise

    main agar tum se kahun

    ye ki pital ke usi sanp ne kaTa hai use

    ek masum si doshiza ko

    january ki ye hasin raat aur is par ai dast

    mere aarasta kamre ka nikhaar

    ek pukar

    sard aur maut ki manind andheri ek raat

    bunden jaDe ki

    gharibi ke musalsal aansu

    ek aurat ki jabin par tare

    sard tarik sitare yani

    ek doshiza ke ruKHsar pe boson ke nishan

    nuqrai bose

    tilai bose

    ab bhi har raat usi kamre mein

    usi shishe ki masahri pe kitaben le kar

    chin ki nazmon ka majmua

    nuqush-e-tagore

    aur kabhi sade se kaghaz pe KHud apne hi KHayalon ke liye

    ek sakun

    ek gunahon ke liye

    ek qarar

    kuchh isi qism ke afkar mein bas Duba hua

    so hi jata hun bahar-haal ai dost

    mez par rakkhe hue but ke hasin sae mein

    aur pital ka ye zahrila sanp

    shama ko Das ke sawere hi se chala jata hai

    jang maut aur gunah!!

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 307)

    • Author: shamim hanfi and mazhar mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council bara-e-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now