Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pin-kishan

Partav Rohila

pin-kishan

Partav Rohila

MORE BYPartav Rohila

    mire pin-cushion meñ bahut pineñ haiñ

    aur aksar पिनें is meñ aisī haiñ jo duur anjāne mulkoñ

    se aa.e ḳhatoñ se nikālī ga.ī haiñ

    ye us vaqt zāhir haqīqat sūrat mire pin-cushion

    meñ lagī haiñ

    agar pin-cushion har ik pin ye soche

    ki maiñ to fulāñ desh huuñ

    fulāñ desh ne merā lohā janā thā

    fulāñ desh ne merī sūrat gaḌhī thī

    to ye sochnā pin-cushion haqīqat ko ḳhatre meñ Daale na Daale

    pinoñ ko yaqīnan jaḌoñ se hilā degā

    aur phir ye saarī pineñ

    be-sakat

    be-jahat

    be-hadaf

    yūñhī rultī phireñgī

    mere pin-cushion mein bahut si pinen hain

    aur aksar पिनें is mein aisi hain jo dur anjaane mulkon

    se aae KHaton se nikali gai hain

    ye us waqt zahir haqiqat ki surat mere pin-cushion

    mein lagi hain

    agar pin-cushion ki har ek pin ye soche

    ki main to fulan desh ki hun

    fulan desh ne mera loha jana tha

    fulan desh ne meri surat gaDhi thi

    to ye sochna pin-cushion ki haqiqat ko KHatre mein Dale na Dale

    pinon ko yaqinan jaDon se hila dega

    aur phir ye sari pinen

    be-sakat

    be-jahat

    be-hadaf

    yunhi rulti phirengi

    Source:

    AURAAQ (Pg. 40)

    • Author: Wazir Agha, Sajjad Naqvi
      • Edition: April, May 1982
      • Publisher: Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore
      • Year of Publication: April, May 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now