aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachpan ka wo zamana

Abdul Qadir

bachpan ka wo zamana

Abdul Qadir

MORE BYAbdul Qadir

    aatā hai yaad mujh ko bachpan vo zamāna

    rahtā thā saath mere ḳhushiyoñ jab ḳhazāna

    har roz ghar meñ milte umda lazīz khāne

    be-mehnat-o-mashaqqat hāsil thā āb-o-dāna

    bachchoñ ke saath rahnā ḳhushiyoñ ke giit gaanā

    dil meñ na thī kudūrat thā sab se dostāna

    mehñdī ke patte laanā aur piis kar lagānā

    phir surḳh haath apne har ek ko dikhānā

    āvāz DugDugī juuñ sunā.ī detī

    us taraf lapaknā bachchoñ vālihāna

    har saal pyāre abbū laate the ek bakrā

    chāra use khilānā maidān meñ ghumānā

    vo duur chukā hai aatā nahīñ palaT kar

    bachpan vo zamāna lagtā hai ik fasāna

    daadī ko maiñ ne ik din ye mashvara diyā thā

    chehre jhurriyoñ ko āsān hai miTānā

    chehre pe aap ke haiñ jo be-shumār shikneñ

    aayā mirī samajh meñ un se najāt paanā

    kapḌe saarī shikneñ miTtī haiñ istirī se

    āsān amal hai ye istirī chalānā

    ik garm istirī ko chehre pe aap phereñ

    umda hai merā nusḳha hai shart āzmānā

    ik roz vālida se kar kahā kitchen meñ

    ab chhoḌiyegā ammī ye roTiyāñ pakānā

    ik peḌ roTiyoñ dālān meñ lagā.eñ

    us peḌ ko kaheñge roTī kārḳhāna

    shāḳhoñ se taaza taaza phir roTiyāñ mileñgī

    toḌeñge roTiyāñ ham khā.eñge ghar meñ khānā

    kaisī ajiib bāteñ aatī thiiñ mere lab par

    aaj un ko kah rahā huuñ bāteñ haiñ ahmaqāna

    vo pyārī pyārī bāteñ ab yaad aa rahī haiñ

    bachpan vo zamāna kyā ḳhvāb thā suhānā

    aata hai yaad mujh ko bachpan ka wo zamana

    rahta tha sath mere KHushiyon ka jab KHazana

    har roz ghar mein milte umda laziz khane

    be-mehnat-o-mashaqqat hasil tha aab-o-dana

    bachchon ke sath rahna KHushiyon ke git gana

    dil mein na thi kudurat tha sab se dostana

    mehndi ke patte lana aur pis kar lagana

    phir surKH hath apne har ek ko dikhana

    aawaz DugDugi ki jun hi sunai deti

    us ki taraf lapakna bachchon ka walihana

    har sal pyare abbu late the ek bakra

    chaara use khilana maidan mein ghumana

    wo dur ja chuka hai aata nahin palaT kar

    bachpan ka wo zamana lagta hai ek fasana

    dadi ko main ne ek din ye mashwara diya tha

    chehre ki jhurriyon ko aasan hai miTana

    chehre pe aap ke hain jo be-shumar shiknen

    aaya meri samajh mein un se najat pana

    kapDe ki sari shiknen miTti hain istiri se

    aasan sa amal hai ye istiri chalana

    ek garm istiri ko chehre pe aap pheren

    umda hai mera nusKHa hai shart aazmana

    ek roz walida se ja kar kaha kitchen mein

    ab chhoDiyega ammi ye roTiyan pakana

    ek peD roTiyon ka dalan mein lagaen

    us peD ko kahenge roTi ka karKHana

    shaKHon se taza taza phir roTiyan milengi

    toDenge roTiyan hum khaenge ghar mein khana

    kaisi ajib baaten aati thin mere lab par

    aaj un ko kah raha hun baaten hain ahmaqana

    wo pyari pyari baaten ab yaad aa rahi hain

    bachpan ka wo zamana kya KHwab tha suhana

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now