Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prometheus

Qamar Jahan Naseer

prometheus

Qamar Jahan Naseer

MORE BYQamar Jahan Naseer

    zamīn ḳhūb-sūrat suDaul jism

    zaḳhmoñ se chuur

    dard se karāh rahā hai

    zamīnī ḳhudāoñ sang-dilī dekh kar āsmānoñ par maujūd devtā bhī shashdar haiñ

    ki unhoñ ne rāz-e-hayāt chhupāyā thā

    maut ke saudāgar nahīñ bane the

    lāshoñ ke Dher par apne ḳhvāboñ ke shīsh-mahal nahīñ tā'mīr kiye the

    zeus ne to sirf aag chhupā.ī thī

    lekin

    mohazzab duniyā ke zamīnī aaqā

    unhoñ ne zamīn ko maut ke capsule meñ tabdīl kar diyā

    hamārī jannat meñ

    duudh aur shahd nahīñ

    lāshoñ nadiyāñ bahtī haiñ

    yahāñ zindagī nahīñ maut ko davām hai

    yahāñ yazdāñ nahīñ ahraman raaj hai

    prometheus

    kyā isī din ke liye tum ne aag churā.ī thī

    aur rāz-e-hayāt faash karne sazā kaaTī thī

    prometheus

    zamīn ke phephḌe oxygen kashīd karte karte thak chuke haiñ

    us nabz Dūbtī rahī hai

    kurra-e-arz phir zamharīr banñe taraf gāmzan hai

    kahīñ se thoḌī aag do

    ek baar phir zeus ko maat de do

    zamin ka KHub-surat suDaul jism

    zaKHmon se chur

    dard se karah raha hai

    zamini KHudaon ki sang-dili dekh kar aasmanon par maujud dewta bhi shashdar hain

    ki unhon ne raaz-e-hayat chhupaya tha

    maut ke saudagar nahin bane the

    lashon ke Dher par apne KHwabon ke shish-mahal nahin ta'mir kiye the

    zeus ne to sirf aag chhupai thi

    lekin

    mohazzab duniya ke zamini aaqa

    unhon ne zamin ko maut ke capsule mein tabdil kar diya

    hamari jannat mein

    dudh aur shahd nahin

    lashon ki nadiyan bahti hain

    yahan zindagi nahin maut ko dawam hai

    yahan yazdan nahin ahraman ka raj hai

    prometheus

    kya isi din ke liye tum ne aag churai thi

    aur raaz-e-hayat fash karne ki saza kaTi thi

    prometheus

    zamin ke phephDe oxygen kashid karte karte thak chuke hain

    us ki nabz Dubti ja rahi hai

    kurra-e-arz phir zamharir banne ki taraf gamzan hai

    kahin se thoDi si aag la do

    ek bar phir zeus ko mat de do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now