Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pukar waqt ki

Bekal Utsahi

pukar waqt ki

Bekal Utsahi

MORE BYBekal Utsahi

    chalo ki pahle nafratoñ

    ān-bān toḌ deñ ye vaqt pukār hai

    alag alag ye rāstoñ pe reñgte se qāfile

    qadam qadam musāfiroñ ke TūTte se hausle

    ye reñgte se qāfiloñ ko

    TūTte se hausloñ ko

    ik Dagar se joḌ deñ ye vaqt pukār hai

    ye shahr shahr ḳhuun ke bahāv meñ basā huā

    ye gaañv gaañv aapsī tanāv meñ kasā huā

    ye ḳhuun ke bahāo

    ye aapsī tanāv

    kalā.iyāñ maroḌ deñ ye vaqt pukār hai

    galī galī TaToltī ghaTā.eñ luuT maar

    nagar nagar meñ Doltī havā.eñ intishār

    ye lūT-mār ghaTā

    ye intishār havā

    samundaroñ meñ chhoḌ deñ ye vaqt pukār hai

    ye aadmī se aadmī dūriyāñ ye khā.iyāñ

    ye apne haath se tabāh ho ke phir duhā.iyāñ

    ye dūriyāñ ye khā.iyāñ

    ye chīḳh ye duhā.iyāñ

    har ik qadam jhiñjhoḌ deñ ye vaqt pukār hai

    ye sūkhe sūkhe phuul par bahār javāniyāñ

    ye jhulse jhulse rang ruup baaġh nishāniyāñ

    javāniyoñ ke jaam meñ

    nishāniyoñ shaam meñ

    rutoñ ḳhuuñ nichoḌ deñ ye vaqt pukār hai

    chalo ki pahle nafraton ki

    aan-ban toD den ye waqt ki pukar hai

    alag alag ye raston pe rengte se qafile

    qadam qadam musafiron ke TuTte se hausle

    ye rengte se qafilon ko

    TuTte se hauslon ko

    ek Dagar se joD den ye waqt ki pukar hai

    ye shahr shahr KHun ke bahaw mein basa hua

    ye ganw ganw aapsi tanaw mein kasa hua

    ye KHun ke bahao ki

    ye aapsi tanaw ki

    kalaiyan maroD den ye waqt ki pukar hai

    gali gali TaTolti ghaTaen luT mar ki

    nagar nagar mein Dolti hawaen intishaar ki

    ye luT-mar ki ghaTa

    ye intishaar ki hawa

    samundaron mein chhoD den ye waqt ki pukar hai

    ye aadmi se aadmi ki duriyan ye khaiyan

    ye apne hath se tabah ho ke phir duhaiyan

    ye duriyan ye khaiyan

    ye chiKH ye duhaiyan

    har ek qadam jhinjhoD den ye waqt ki pukar hai

    ye sukhe sukhe phul par bahaar ki jawaniyan

    ye jhulse jhulse rang rup bagh ki nishaniyan

    jawaniyon ke jam mein

    nishaniyon ki sham mein

    ruton ka KHun nichoD den ye waqt ki pukar hai

    Source:

    Rang Hazaron Khushboo Ek (Pg. 35)

    • Author: Bekal Utsahi
      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now