Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pukar

MORE BYJameel Azimabadi

    ye kachchī kaliyāñ gulāb jaisī

    ye kis ne in ko masal diyā hai

    ye kis ne in ko kuchal diyā hai

    ki shāh-rāhoñ meñ haiñ fasurda

    kahāñ haiñ maalī kahāñ haiñ ġhunche

    kahāñ ga.e sab muhāfiz-e-gul

    lahū kis ne ḳhirāj māñgā

    ki sahn-e-gulshan lahū lahū hai

    kabīda maalī fasurda ġhunche

    hadoñ se apnī guzar ga.e haiñ

    idhar udhar sab bikhar ga.e haiñ

    hisār-e-zulmat meñ kho ga.e haiñ

    hai kaun un ko azaan de kar

    safoñ meñ kar khaḌā karegā

    havas ke bandoñ ko dars degā

    diyā jalā ke uḳhuvvatoñ

    ye zulm ham sab saheñge kab tak

    ye āshiyāne jaleñge kab tak

    udaas gulshan rahegā kab tak

    ye ḳhūn-e-nāhaq bahegā kab tak

    udaas nasloñ ke vāriso tum

    lahū kab tak ḳhirāj doge

    anā mūrat ko toḌ Daalo

    havas ke bando sitam-zarīfo

    uḳhuvvatoñ salām le kar

    mohabbatoñ payām le kar

    baḌho ki manzil pukārtī hai

    baḌho ki manzil pukārtī hai

    ye kachchi kaliyan gulab jaisi

    ye kis ne in ko masal diya hai

    ye kis ne in ko kuchal diya hai

    ki shah-rahon mein hain fasurda

    kahan hain mali kahan hain ghunche

    kahan gae sab muhafiz-e-gul

    lahu ka kis ne KHiraj manga

    ki sahn-e-gulshan lahu lahu hai

    kabida mali fasurda ghunche

    hadon se apni guzar gae hain

    idhar udhar sab bikhar gae hain

    hisar-e-zulmat mein kho gae hain

    hai kaun un ko azan de kar

    safon mein la kar khaDa karega

    hawas ke bandon ko dars dega

    diya jala ke uKHuwwaton ka

    ye zulm hum sab sahenge kab tak

    ye aashiyane jalenge kab tak

    udas gulshan rahega kab tak

    ye KHun-e-nahaq bahega kab tak

    udas naslon ke wariso tum

    lahu ka kab tak KHiraj doge

    ana ki murat ko toD Dalo

    hawas ke bando sitam-zarifo

    uKHuwwaton ka salam le kar

    mohabbaton ka payam le kar

    baDho ki manzil pukarti hai

    baDho ki manzil pukarti hai

    Source:

    Aab-o-Sarab (Pg. 41)

    • Author: Jameel Azimabadi
      • Publisher: Rashid Publications, Karachi
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now