Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyar ka jashn

Kaifi Azmi

pyar ka jashn

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    pyaar jashn na.ī tarah manānā hogā

    ġham kisī dil meñ sahī ġham ko miTānā hogā

    kāñpte hoñToñ pe paimān-e-vafā kyā kahnā

    tujh ko laa.ī hai kahāñ laġhzish-e-pā kyā kahnā

    mere ghar meñ tire mukhḌe ziyā kyā kahnā

    aaj har ghar diyā mujh ko jalānā hogā

    ruuh chehroñ pe dhuāñ dekh ke sharmātī hai

    jheñpī jheñpī mire lab pe hañsī aatī hai

    tere milne ḳhushī dard banī jaatī hai

    ham ko hañsnā hai to auroñ ko hañsānā hogā

    soī soī huī ā.ankhoñ meñ chhalakte hue jaam

    khoī khoī huī nazroñ meñ mohabbat payām

    lab shīrīñ pe mirī tishna-labī in.aam

    jaane in.aam milegā ki churānā hogā

    merī gardan meñ tirī sandalī bāhoñ ye haar

    abhī aañsū the in ā.ankhoñ meñ abhī itnā ḳhumār

    maiñ na kahtā thā mire ghar meñ bhī aa.egī bahār

    shart itnī thī ki pahle tujhe aanā hogā

    pyar ka jashn nai tarah manana hoga

    gham kisi dil mein sahi gham ko miTana hoga

    kanpte honTon pe paiman-e-wafa kya kahna

    tujh ko lai hai kahan laghzish-e-pa kya kahna

    mere ghar mein tere mukhDe ki ziya kya kahna

    aaj har ghar ka diya mujh ko jalana hoga

    ruh chehron pe dhuan dekh ke sharmati hai

    jhenpi jhenpi si mere lab pe hansi aati hai

    tere milne ki KHushi dard bani jati hai

    hum ko hansna hai to auron ko hansana hoga

    soi soi hui aaankhon mein chhalakte hue jam

    khoi khoi hui nazron mein mohabbat ka payam

    lab shirin pe meri tishna-labi ka inam

    jaane inam milega ki churana hoga

    meri gardan mein teri sandali bahon ka ye haar

    abhi aansu the in aaankhon mein abhi itna KHumar

    main na kahta tha mere ghar mein bhi aaegi bahaar

    shart itni thi ki pahle tujhe aana hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now