Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyari munni

Mayal Khairabadi

pyari munni

Mayal Khairabadi

MORE BYMayal Khairabadi

    munnī hai ik achchhī bachchī

    achchhī bachchī sachchī bachchī

    kartī hai jab kaam koī bhī

    pahle hai bismillah kahtī

    roz namāzeñ paḌhtī hai vo

    ek namāzī bachchī hai vo

    kartī hai vo roz tilāvat

    ye bhī hai ik pyārī aadat

    ḳhuub salīqe se rahtī hai

    baat bhalā.ī kahtī hai

    shauq se paḌhne jaatī hai vo

    ḳhush ḳhush ghar ko aatī hai vo

    jo kahte haiñ maañ baap us se

    vo sab kartī hai ḳhush ho ke

    sab ko ḳhush rakhtī hai munnī

    rab ko ḳhush rakhtī hai munnī

    munnī hai ik achchhī bachchī

    achchhī bachchī sachchī bachchī

    munni hai ek achchhi bachchi

    achchhi bachchi sachchi bachchi

    karti hai jab kaam koi bhi

    pahle hai bismillah kahti

    roz namazen paDhti hai wo

    ek namazi bachchi hai wo

    karti hai wo roz tilawat

    ye bhi hai ek pyari aadat

    KHub saliqe se rahti hai

    baat bhalai ki kahti hai

    shauq se paDhne jati hai wo

    KHush KHush ghar ko aati hai wo

    jo kahte hain man bap us se

    wo sab karti hai KHush ho ke

    sab ko KHush rakhti hai munni

    rab ko KHush rakhti hai munni

    munni hai ek achchhi bachchi

    achchhi bachchi sachchi bachchi

    Source:

    Hamari Kitab (Pg. 28)

    • Author: Afzal Husain
      • Publisher: Markazi Maktaba Islami Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 2009

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now