Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyas ki aag

Ali Sardar Jafri

pyas ki aag

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    maiñ ki huuñ pyaas ke dariyā taḌaptī huī mauj

    chukā huuñ maiñ samundar samundar phir bhī

    ek ik qatra-e-shabnam ko taras jaatā huuñ

    qatra-e-shabnam-e-ashk

    qatra-e-shabnam-e-dil ḳhūn-e-jigar

    qatra-e-nīm-nazar

    mulāqāt ke lamhoñ ke sunahrī qatre

    jo nigāhoñ harārat se Tapak paḌte haiñ

    aur phir lams ke nuur

    aur phir baat ḳhushbū meñ badal jaate haiñ

    mujh ko ye qatra-e-shādāb bhī chakh lene do

    dil meñ ye gauhar-e-nāyāb bhī rakh lene do

    ḳhushk haiñ hoñT mire ḳhushk zabāñ hai merī

    ḳhushk hai dard kaa, naġhme gulū

    maiñ agar na sakā vaqt ye āb-e-hayāt

    pyaas aag meñ Dartā huuñ ki jal jā.uñgā

    main ki hun pyas ke dariya ki taDapti hui mauj

    pi chuka hun main samundar ka samundar phir bhi

    ek ek qatra-e-shabnam ko taras jata hun

    qatra-e-shabnam-e-ashk

    qatra-e-shabnam-e-dil KHun-e-jigar

    qatra-e-nim-nazar

    ya mulaqat ke lamhon ke sunahri qatre

    jo nigahon ki hararat se Tapak paDte hain

    aur phir lams ke nur

    aur phir baat ki KHushbu mein badal jate hain

    mujh ko ye qatra-e-shadab bhi chakh lene do

    dil mein ye gauhar-e-nayab bhi rakh lene do

    KHushk hain honT mere KHushk zaban hai meri

    KHushk hai dard ka, naghme ka gulu

    main agar pi na saka waqt ka ye aab-e-hayat

    pyas ki aag mein Darta hun ki jal jaunga

    Source:

    Ek Khvab aur (Pg. 159)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now