Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatil

Jaun Eliya

qatil

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    sunā hai tum ne apne āḳhirī lamhoñ meñ samjhā thā

    ki tum merī hifāzat meñ ho mere bāzuoñ meñ ho

    sunā hai bujhte bujhte bhī tumhāre sard o murda lab se

    ek sho.ala shola-e-yāqūt-fām o rañg o ummīd-e-faroġh-e-zindagī-āhañg lapkā thā

    hameñ ḳhud meñ chhupā liije

    ye merā vo azāb-e-jāñ hai jo mujh ko

    mire apne ḳhud apne jahannam meñ jalātā hai

    tumhārā sīna-e-sīmīñ

    tumhāre bāzūvān-e-mar-marīñ

    mere liye

    mujh ik havasnāk-e-faromāya ḳhātir

    saaz o sāmān-e-nashāt o nashsha-e-ishrat-fuzūnī the

    mire ayyāsh lamhoñ fusūñ-gar pur-junūnī ke liye

    sad-lazzat āgīñ sad-karishma pur-zabonī the

    tumheñ merī havas-pesha

    mirī saffāk qātil bevafā.ī gumāñ tak

    is gumāñ ek vahm-e-ḳhud gurezāñ tak nahīñ thā

    kyuuñ nahīñ thā kyuuñ nahīñ thā kyuuñ

    koī hotā koī to hotā

    jo mujh se mirī saffāk qātil bevafā.ī sazā meñ

    ḳhuun thukvātā

    mujhe har lamhe suulī pe laTkātā

    magar fariyād koī bhī nahīñ koī

    dareġh uftād koī bhī

    mujhe mafrūr honā chāhiye thā

    aur maiñ saffāk-qātil bevafā ḳhūñ-rez-tar maiñ

    shahr meñ ḳhud-vārdātī

    shahr meñ ḳhud-mast āzādāna phirtā huuñ

    nigār-e-ḳhāk-āsūda

    bahār-e-ḳhāk-āsūda

    suna hai tum ne apne aaKHiri lamhon mein samjha tha

    ki tum meri hifazat mein ho mere bazuon mein ho

    suna hai bujhte bujhte bhi tumhaare sard o murda lab se

    ek shoala shola-e-yaqut-fam o rang o ummid-e-farogh-e-zindagi-ahang lapka tha

    hamein KHud mein chhupa lije

    ye mera wo azab-e-jaan hai jo mujh ko

    mere apne KHud apne hi jahannam mein jalata hai

    tumhaara sina-e-simin

    tumhaare bazuwan-e-mar-marin

    mere liye

    mujh ek hawasnak-e-faromaya ki KHatir

    saz o saman-e-nashat o nashsha-e-ishrat-fuzuni the

    mere ayyash lamhon ki fusun-gar pur-jununi ke liye

    sad-lazzat aagin sad-karishma pur-zaboni the

    tumhein meri hawas-pesha

    meri saffak qatil bewafai ka guman tak

    is guman ka ek wahm-e-KHud gurezan tak nahin tha

    kyun nahin tha kyun nahin tha kyun

    koi hota koi to hota

    jo mujh se meri saffak qatil bewafai ki saza mein

    KHun thukwata

    mujhe har lamhe ki suli pe laTkata

    magar fariyaad koi bhi nahin koi

    daregh uftad koi bhi

    mujhe mafrur hona chahiye tha

    aur main saffak-qatil bewafa KHun-rez-tar main

    shahr mein KHud-wardati

    shahr mein KHud-mast aazadana phirta hun

    nigar-e-KHak-asuda

    bahaar-e-KHak-asuda

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    qatil Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now