Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qabr

Naina Adil

qabr

Naina Adil

MORE BYNaina Adil

    shahzāda lipaTtā hai mujh se aur duur kahīñ

    chiḌiyā ko saañp nigaltā hai

    sāñsoñ meñ ghultī haiñ sāñseñ aur!

    zahr utartā jaatā hai

    lamhāt ke niile qatroñ meñ

    kānoñ meñ mire ras gholtā hai shabdoñ milan! aur man bhītar

    ik chīḳh sunā.ī detī hai

    jaltī poroñ meñ kāñptī hai be-māya lams ḳhāmoshī

    us ke hāthoñ se likhtī huuñ maiñ ishq-badan miTTī par

    us āñkhoñ ke goristāñ meñ dekhtī huuñ ik qabr na.ī

    aur shahzāde ke siine par sar rakh kar so jaatī huuñ

    shahzada lipaTta hai mujh se aur dur kahin

    chiDiya ko sanp nigalta hai

    sanson mein ghulti hain sansen aur!

    zahr utarta jata hai

    lamhat ke nile qatron mein

    kanon mein mere ras gholta hai shabdon ka milan! aur man bhitar

    ek chiKH sunai deti hai

    jalti poron mein kanpti hai be-maya lams ki KHamoshi

    us ke hathon se likhti hun main ishq-badan ki miTTi par

    us ki aankhon ke goristan mein dekhti hun ek qabr nai

    aur shahzade ke sine par sar rakh kar so jati hun

    RECITATIONS

    Naina Adil

    Naina Adil,

    Naina Adil

    qabr Naina Adil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now