Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qabron par barish

Iftikhar Bukhari

qabron par barish

Iftikhar Bukhari

MORE BYIftikhar Bukhari

    bārish girtī hai

    maTyālī qabroñ par bārish girtī hai

    hadd-e-nazar tak jal-thal

    siilā siilā ḳhvāb musalsal

    yaad nahīñ maiñ ne bārish ko pahlī baar kahāñ dekhā thā

    khiḌkī meñ ḳhvāb meñ

    chhat par dariyā ke kināre

    africa ke bachchoñ banjar āñkhoñ meñ

    bangāl meñ nangī lāshoñ vaale sogī sāhiloñ par

    kitnī bārisheñ dafn haiñ jaane is bārish ke nīche

    ek galī ke ThanDe paanī meñ bhūlā bachpan chaltā thā

    ek mahaktā āñchal koī giilā chehra poñchh rahā thā

    jaane kahāñ maiñ pheñk aayā huuñ

    vo dil aur vo juute

    tairtī taḳhtiyāñ bhīge baste

    pyāsī kuuk kisī koyal

    duur harī tanhā.ī meñ

    ik giit jo us ke lab ne mere lab se juḌ kar gaayā thā

    ik jaltī bujhtī shaam judā.ī

    sāvan pahlī būñdoñ meñ

    jis ne itne rang bhare the

    merī umr ke ḳhālī-pan meñ

    aaj ḳhud us apnā koī rang nahīñ

    maTyālī qabroñ par bārish girtī hai

    be-maqsad hai jaise zindagī

    be-ma.anī hai jaise maut

    barish girti hai

    maTyali qabron par barish girti hai

    hadd-e-nazar tak jal-thal

    sila sila KHwab musalsal

    yaad nahin main ne barish ko pahli bar kahan dekha tha

    khiDki mein ya KHwab mein

    chhat par ya dariya ke kinare

    africa ke bachchon ki banjar aankhon mein

    ya bangal mein nangi lashon wale sogi sahilon par

    kitni barishen dafn hain jaane is barish ke niche

    ek gali ke ThanDe pani mein bhula bachpan chalta tha

    ek mahakta aanchal koi gila chehra ponchh raha tha

    jaane kahan main phenk aaya hun

    wo dil aur wo jute

    tairti taKHtiyan bhige baste

    pyasi kuk kisi koyal ki

    dur hari tanhai mein

    ek git jo us ke lab ne mere lab se juD kar gaya tha

    ek jalti bujhti sham judai

    sawan ki pahli bundon mein

    jis ne itne rang bhare the

    meri umr ke KHali-pan mein

    aaj KHud us ka apna koi rang nahin

    maTyali qabron par barish girti hai

    be-maqsad hai jaise zindagi

    be-mani hai jaise maut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now