Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadamat-e-mohabbat

Rishi Patialvi

qadamat-e-mohabbat

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    mahaktī thī fazā pur-kaif manzar thā bahāroñ

    simaT kar aa gayā thā nuur zarroñ meñ sitāroñ

    fazāoñ meñ tarannum thā parinde chahchahāte the

    havā ke sard jhoñke be-ḳhudī giit gaate the

    vo rut aamoñ sāvan mahīna shaam bhīgī

    chaman meñ motiyoñ se pur thī jholī ġhuncha-o-gul

    surūr-o-kaif meñ khoyā huā thā dil-kushā manzar

    masarrat-āfrīñ thā sar-ba-sar barsāt manzar

    achānak us ko aise vaqt pahlī baar dekhā thā

    ḳhudā ma.alūm kyā jaadū bharā vo husn-e-rā.anā thā

    bichhī jaatī thī mausam nazākat us ke qadmoñ meñ

    machaltī thī bahāroñ latāfat us ke qadmoñ meñ

    usī ke dam se saarā gulsitāñ firdaus-manzar thā

    chaman meñ inhisār-e-mausam-e-gul tak usī par thā

    dil āñkhoñ se ye kahtā thā nigāh-e-ġhaur se dekho

    kahīñ is ruup meñ doshīza-e-fitrat na aa.ī ho

    utar aaya na har farsh-e-zamīñ par chāñd TukḌā

    koī bhaTkā huā jalva na ho gulzār-e-jannat

    surayyā koī partav na ham-āġhosh-e-fitrat ho

    koī anjum na bhūle se ziyā-bar-dosh-e-fitrat ho

    vo jalva jis ko ḳhud ra.anā.ī-e-fitrat pe pyaar aa.e

    vo jis ke ḳhair-maqdam ko do-ālam bahār aa.e

    vo qudrat thī ḳhudā jis pe ḳhud qudrat tasadduq thī

    vo barakat thī yaqīnan jis pe har barakat tasadduq thī

    vo sūrat thī jise nūr-e-ḳhudā shān-e-ḳhudā kahiye

    jise taskīn dil kaa.e nazar mudda.ā kahiye

    tamanna thī ki us ko dekh kar bas dekhte jaa.eñ

    sharāb-e-be-ḳhudī kar na apne aap meñ aa.eñ

    usī rang thā gul meñ kalī meñ ruup us thā

    na husn-e-dilrubā aisā sunā thā na dekhā thā

    vo ik muñh boltī tasvīr thī husn-o-nazākat

    ḳhud āñkheñ ban ke jalva dekhne dil ko hasrat thī

    kise is ḳhabar thī pyaar ban jā.egī ye hasrat

    kise ma.alūm thā āzār ban jā.egī ye hasrat

    'rishī' kis ko pata thā aañkh mil kar dil bhī aTkegā

    bil-āḳhir ḳhār-e-ulfat umr-bhar siine meñ khaTkegā

    mahakti thi faza pur-kaif manzar tha bahaaron ka

    simaT kar aa gaya tha nur zarron mein sitaron ka

    fazaon mein tarannum tha parinde chahchahate the

    hawa ke sard jhonke be-KHudi ka git gate the

    wo rut aamon ki sawan ka mahina sham bhigi si

    chaman mein motiyon se pur thi jholi ghuncha-o-gul ki

    surur-o-kaif mein khoya hua tha dil-kusha manzar

    masarrat-afrin tha sar-ba-sar barsat ka manzar

    achanak us ko aise waqt pahli bar dekha tha

    KHuda malum kya jadu bhara wo husn-e-raana tha

    bichhi jati thi mausam ki nazakat us ke qadmon mein

    machalti thi bahaaron ki latafat us ke qadmon mein

    usi ke dam se sara gulsitan firdaus-manzar tha

    chaman mein inhisar-e-mausam-e-gul tak usi par tha

    dil aankhon se ye kahta tha nigah-e-ghaur se dekho

    kahin is rup mein doshiza-e-fitrat na aai ho

    utar aaya na har farsh-e-zamin par chand ka TukDa

    koi bhaTka hua jalwa na ho gulzar-e-jannat ka

    surayya ka koi partaw na ham-aghosh-e-fitrat ho

    koi anjum na bhule se ziya-bar-dosh-e-fitrat ho

    wo jalwa jis ko KHud ranai-e-fitrat pe pyar aae

    wo jis ke KHair-maqdam ko do-alam ki bahaar aae

    wo qudrat thi KHuda ki jis pe KHud qudrat tasadduq thi

    wo barakat thi yaqinan jis pe har barakat tasadduq thi

    wo surat thi jise nur-e-KHuda shan-e-KHuda kahiye

    jise taskin dil kae nazar ka muddaa kahiye

    tamanna thi ki us ko dekh kar bas dekhte jaen

    sharab-e-be-KHudi pi kar na apne aap mein aaen

    usi ka rang tha gul mein kali mein rup us ka tha

    na husn-e-dilruba aisa suna hi tha na dekha tha

    wo ek munh bolti taswir thi husn-o-nazakat ki

    KHud aankhen ban ke jalwa dekhne ki dil ko hasrat thi

    kise is ki KHabar thi pyar ban jaegi ye hasrat

    kise malum tha aazar ban jaegi ye hasrat

    'rishi' kis ko pata tha aankh mil kar dil bhi aTkega

    bil-aKHir KHar-e-ulfat umr-bhar sine mein khaTkega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now