Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qahf-ul-qahat

Ghulam Mohammad Qasir

qahf-ul-qahat

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    pīr-baḳhsh building se pīr-baḳhsh ke marqad tak

    apnī baḳhshish duāoñ ke karbzār se guzar kar aane vaalī

    sar par guzishta maah o saal ke kitne thaal uThā.e

    aaj bhī ek qabr-e-gum-gashta nishāñ aur apne mādūm kal ke liye ḳhitta-e-amāñ

    ek saath DhūñD rahī hai

    us ke nañge talvoñ se chhūne vaalī tapish lahar lahar use apne

    khilaunoñ se mahrūm bachpan ke saath saath vo bahāreñ bhī yaad dilā jaatī hai

    jab kisī an-dekhe jhoñke se mahak uThne ḳhvāhish meñ us ke sapne

    pas-e-dīvār murjhā ga.e aur us ke baal chambelī ke phuul bante ga.e

    aur phir us kalā.iyoñ meñ pahnī huī jhurriyoñ meñ talā.ī chūḌiyoñ

    ke aks jhilmilāne lage

    abhī abhī ek be-tartīb sāhūkār apne bikhre hue noToñ

    ko tartīb dene jāñ-gusil farīza sar-anjām dete dete thak gayā

    maa.ī maryam ne pahle to noToñ meñ muqayyad zarūratoñ se mulāqāt

    ek aur koshish

    aur phir ek nazar āsmān par Daalī jaise vahāñ bhī koī rahtā ho

    us āñkhoñ se nikalne ke liye be-tāb hasratoñ meñ se

    kuchh to un goliyoñ ko bhī bhigo ga.iiñ

    jinheñ apne larazte hāthoñ meñ lete use yaqīn ho chalā thā

    ki aaj raat use koī dard nahīñ satā.egā

    aur sub.h ko khāñsī daura bhī nahīñ paḌegā

    magar kahāñ...

    bīmāriyāñ bhī aaj kal apne mizāj meñ bahut be-niyāz ho ga.ī haiñ

    pir-baKHsh building se pir-baKHsh ke marqad tak

    apni hi baKHshish ki duaon ke karbzar se guzar kar aane wali

    sar par guzishta mah o sal ke kitne hi thaal uThae

    aaj bhi ek qabr-e-gum-gashta ka nishan aur apne madum kal ke liye KHitta-e-aman

    ek sath DhunD rahi hai

    us ke nange talwon se chhune wali tapish ki lahar lahar use apne

    khilaunon se mahrum bachpan ke sath sath wo bahaaren bhi yaad dila jati hai

    jab kisi an-dekhe jhonke se mahak uThne ki KHwahish mein us ke sapne

    pas-e-diwar murjha gae aur us ke baal chambeli ke phul bante gae

    aur phir us ki kalaiyon mein pahni hui jhurriyon mein talai chuDiyon

    ke aks jhilmilane lage

    abhi abhi ek be-tartib sahukar apne bikhre hue noTon

    ko tartib dene ka jaan-gusil fariza sar-anjam dete dete thak gaya

    mai maryam ne pahle to noTon mein muqayyad zaruraton se mulaqat

    ki ek aur koshish ki

    aur phir ek nazar aasman par Dali jaise wahan bhi koi rahta ho

    us ki aankhon se nikalne ke liye be-tab hasraton mein se

    kuchh to un goliyon ko bhi bhigo gain

    jinhen apne larazte hathon mein lete hi use yaqin ho chala tha

    ki aaj raat use koi dard nahin sataega

    aur subh ko khansi ka daura bhi nahin paDega

    magar kahan

    bimariyan bhi aaj kal apne mizaj mein bahut be-niyaz ho gai hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now